Khane me be-barkati!!! Shareh Sanah me Abu Ayyub رضي الله - TopicsExpress



          

Khane me be-barkati!!! Shareh Sanah me Abu Ayyub رضي الله عنه se riwayat hai, kehte hai ki hum NABI KARIM صلى الله تعالى عليه واله وسلم ki khidmat me hazir the, khana pesh kiya gaya, ibtida’a me itni barkat humne kisi khane me nahi dekhi, magar akhir me badi be-barkati dekhi, hum ne arz ki YA RASOOLALLAH !! aisa kyun?? Irshad farmaya ki hum sab ne khane ke waqt Bishmillah parhi thi, phir ek sakhs bagair Bishmillah parhe khane ko baith gaya! Uski ke saath shaitan ne khana kha liya. [MASHAALLAH MERE AAQA KA ILM E GAIB] Is hadees se ye bhi pata chal ki agar sab ne Bishmillah parh kar khana khaya aur ek ne nahi parha tou bhi khane se barkat nikal jati hai. [Sharah Al Sanah, Kitab ut Ta’amih, Baab ul Tasmiyah alil Akil, Jild 6, Page No. 61-62, Hadith No. 2818]
Posted on: Fri, 21 Jun 2013 01:28:58 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015