∗ Khuda Ke Khas Bando Ki Pehchan Kya Hai ? …. Khuda Wande - TopicsExpress



          

∗ Khuda Ke Khas Bando Ki Pehchan Kya Hai ? …. Khuda Wande Kareem Quraan-e-Kareem Me Uske Khas Bando Ke Akhlaq (Nature) Ke Mutabik Surah Al-Furqan Ki Ayato Me Farmata Hai, ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! » Ayat (63). Aur Khuda Ke Khas Bande Toh Woh Hai Jo Zameen Par Aahistagi Se Chalte Hai, Aur Jab Jahil Unse (Jahalat) Ki Baat Kare Toh Kahte Hai Ke Salaam (Tum Salamat Raho), » Ayat (64). Aur Woh Log Jo Apne Parwardigar Ke Waste Sajde Aur Qayam Me Raat Kaat Dete Hai, » Ayat (65). Aur Woh Log Jo Dua Karte Hai Ki Parwardigara Hamse Jahhanum Ke Azaab Fere Rehna Kyunki Uska Azaab Bohot (Sakht Aur Payedar Hoga), » Ayat (66). Beshaq Woh (Jahhannum) Bohot Bura Thikana Hai, » Ayat (67). Aur woh Log Ki Jab Kharch Karte Hai Toh Na Fizul Kharchi Karte Hai Aur Na Tangi Karte Hai. Aur Unka Karch Uske Darmiyan Ausat Darje Ka Rehta Hai, » Ayat (68). Aur Woh Log Jo Khuda Ke Sath Dusre Maboodo Ki Parashtish Nahi Karte Aur Jis Ke Maarne Ko Khuda Ne Haraam Kar Diya Use Naahaq Qatl Nahi Karte Aur Naa Zinaa Karte Hai. - (Surah Al-Furqan Ayat 63 To 68)
Posted on: Thu, 12 Sep 2013 22:51:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015