Kisko main apna shikshak kahu ? Unko jinhone mujhko sikhaya ki ye - TopicsExpress



          

Kisko main apna shikshak kahu ? Unko jinhone mujhko sikhaya ki ye ye karya nahi karne hai Ya unko jinhone mujhko sikhaya ki ye ye karya karne hai Unko jinhone mujhko vikat paristhitiyo main pahuchaya Ya unko jinhone mujhko acchi paristhitiyo ko kaise paida kiya jaye unko Jinhone paisa lekar shiksha dekar duniyadari sikhai unko Ya jinhone dil se kuch accha sikhaya unko Unko jinhone mujhpar pit piche se ghat kiye Ya unko jinhone mujhpar samne se vaar kiye Unko jinhone mujhe confuses karne ke sare raste dikhaye Ya unko jinhone confusion door karne ke mere prayaso me sahayata pratyaksh ya paroksha roop se ki Unko jinhone mahan baate vichar kagjo par utare ya unko jinhone apne jeevan main mahan karya karke dikhaye Maa baap jinhone paida kiya unko ya is jeevan ko.. Mere khayal se sabse bada teacher hamara jeevan hai... Jo humko pratyaksha paroksha roop se bahut kuch sikhata hai tab bhi jab hume lagta hai hum kuch nahi sikh rahe tab bhi kahi na kahi se bahut kuch sikhata hai.... Teachar jab astitva main aa hi jata hai jab koi vidhyarthi ki bhoomika nibhata hai.... Sambhi jeevan main acche bure sabhi gyan bhavo samajh ke vikaskarta shikshako ko shikshak diwas ki badhaiya avem pranam... Shiksha vyartha hai agar uska sakaratmak upyog apne avem auro ke jeevan ko unnat pragtishil khushhal samriddha banane main nahi kiya jaye....
Posted on: Thu, 05 Sep 2013 04:38:16 +0000

Trending Topics



ight:30px;">
Tips For Buying Used Vans With the economy encountering an
Pes 2014 de ; • Toplar ele çarpacak. • Oyuncular

Recently Viewed Topics




© 2015