Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai Magar dharti ki - TopicsExpress



          

Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai Main tujhse dur kaisa hun,tu mujhse dur kaisi hai? Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai Jo tu samjhe to moti, jo na samjhe toh paani hai Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta Yeh aasu pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama Humare dil mein koi khwaab pal baitha to hungama Abhi tak doob kar sunte the sab qissa mohobbat ka Main qisse ko haqeeqat mein badal baitha to hungama Bohat bikhra bahut toota thapere seh nahi paaya Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka qissa Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain
Posted on: Tue, 23 Jul 2013 17:06:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015