Kuch Log kahte hai Maahe Shabaan ki koi fazilat nahi hai na hi - TopicsExpress



          

Kuch Log kahte hai Maahe Shabaan ki koi fazilat nahi hai na hi kisi Hadees Shareef me iska zikr hai, Un Ghustakh e Rasool sallallahu alaihi wasallam Aql ke andhe Logo ko ye Padhne bolo Shab-e-Baraat Shabaan Ki Pandharween (15th) Raat Ka Naam Aam Istilah Me Shab-e-Baraat Hai, Iss Raat Ki Fazilat Quraan Paak Ki (Surah-e- Dukhan Aayat 1-4) Se Sabit Hai. ALLAH Ne Qasam Yaad Farma Kar Iss Raat Ko “Lailatul Mubaraka” Kaha. Allama Aalusi : “Hazrat-e-Akrama Aur 1 Jamaat-e-SahabaIs Taraf Hai Ke Is Se Muraad Shaban Ki Nisf Raat (Yani Pandharween Raat Jise Shab-e-Baraat Kaha Jata Hai) Hai”. (Tafseer-e-Roohul Mua’ani) Abu Saud : “Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Baraat (Nisf Shaban) Bhi Hai”. (Tafseer-e-Abi Saood) Allama Imaam Raazi: “Hazrat Akrama Aur Dusre Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Baraat Hai Jo Shaban Ki 15th Hai”. (Tafseer-e-Kabir) Allama Sawi : “Lailatul Mubaraka Se Murad Shaban Ki 15th Hai. Yahi Qoul Akrama Aur Kai Dusre Sahaba Ka Hai”. Iss Raat Ke 4 Naam Hai. (1).Mubaraka, (2).Rehma, (3).Barat, (4).Sak. Aur Iss Raat Ibadat Karna Afzal Hai (Saawi) Hazrat Ali (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Se Marwi Hai Ke, Huzoor Nabi-e-Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Jab Shaban Ki Nisf Raat Aaye To Tum Raat Ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho. Beshak Guroob-e-Aftab Se Subah Sadiq Tak ALLAH Paak Ki Rehmat Ka Nuzool Aasman-e-DuniyaPar Hota Hai Rabb Ta’ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hai, k Khabardar !! Hai Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Kare, k Mai Use Bakhsh Du. Hai Koi Rizq Ka Taalib Ke Usey Rizq Ataa Karu. Hai Koi Musibat Zada Ke Mai Use Aafiyet Ataa Karu. Hai Koi Iss Tarah Hai ? Hai Koi Iss Tarah Hai ?” (Ibn-E-Maja -Bab Ma Jaa’a Fi LailatinNisf Min Sha’ban P#99) Hazrat Abu Moosa Ash’ari Se Marwi Hai Ke HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Beshak ALLAH Ki Rehmat Ka Shaban Ke Nisf Ki Raat Me Zuhoor Hota Hai. ALLAH Apni Tamam Makhlooq Ko Muaaf Farma Deta Hai Siwaye Mushrik, Logo Se Bughz Rakhne Wale, Dushmani Karne Wale”. (Ibn-E-Maja Shareef) Hazrat Ayesha (Radhi Allahu Ta’alaAnha) Se Marwi Hai Ke HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Shaban Ki Nisf Raat Me Saal Me Paida Hone Aur Fout Hone Walo, Baais-e-Rifat Nek Aamal Aur Rizq Ke Asbab Likh Diye Jaate Hai”. (Bahaqi, Mishkat Shareef) Hazrat Urwa Se Marwi Hai Ke Hazrat Ayesha (Radhi Allahu Ta’ala Anha) Farmati Hai k, “Mai ne Ek Raat RASOOLALLAH sallallahu alaihi wasallam Ko Gham me Paaya To Aapki Talaash Ke liye Nikli. Aap sallallahu alaihi wasallam Jannatul Baqi (Qabrastan) Me Aasman Ki Taraf Sar Uthaye Hue They. HUZOOR Ne Farmaya, Beshak ! ALLAH Paak Apni Rehmat-e-Kaamila Se Nisf Shaban Ki Raat (Shab-e-Baraat)Aasman-e-DuniyaPar Nuzool Farmata Hai. Banu Kalb Ki Bakriyo Ke Baalon Se Zyada Magfirat Farmata Hai”. (Tirmizi Shareef) HUZOOR sallallahu alaihi wasallam Ne Farmaya, “15th Shaban Ko ALLAH Paak (Ki Rehmat) Aasman-e-DuniyaKi Taraf Nuzool Farmata Hai Iss Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hai, Siwaye Mushrik Wa Keena Parwar Ke”. (Baihaqi) Ata Bin Yasar Se Marwi; “Koi Raat Lailatul Qadr Ke Baad 15th Shaban Ki Shab Se Zyada Fazilat Wali Nahi”. (Baihaqi) Hazrat Kaab (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Marwi Hai Ke RASOOLALLAH (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “ALLAH Hazrat e Jibraeel Ko 15th Shaban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hai, Ke Wo Aarasta Hone Ka Hukm Pohncha De Aur Keh De Ke ALLAH Iss Raat Me Aasman Ke Sitaro, Duniya Ke Din Raat, Darakht Ke Patton, Pahado Ke Wazan Aur Rait Ke Zarro Ki Ginti Ke Barabar Bando Ko Aazad Karega”. (Baihaqi) Pandhrahvi (15th) Shaban Khuda Ki Taraf Se Hikmat Wale Har Kaam Ka Faisla Kiya Jaata Hai Zinde Likhe Jaate Aur Haji Qalamband Hote Hai Phir Iss Se Na Koi Badta Hai Aur Na Kam Hota Hai”. (Ibn-E-Jarir, Ibn-E-Manzar, Ibn-E- AbiHatim) Plzz Share to all Muslims!
Posted on: Sun, 23 Jun 2013 17:37:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015