Kuch na milaiga apnon sae cut kae Rah jaingay hum tukdo mae but - TopicsExpress



          

Kuch na milaiga apnon sae cut kae Rah jaingay hum tukdo mae but kae Eik hi bhul karjati hae apna kaam Khatae hain phir umar bhar jhat kae Achchi batain sada lagatin hain kadvi Per kaho oosae dil sae be khat kae Koi to ho banae quam ka Ameer Hum muntazir hain eis Aahat kae Hum dusroan kae hansi chahron sae Chun latae hain lutf muskrahat kae Ashk ho Shama ho kae Bijlee ho Hum to shaida hain jugmagahat kae Bank Balance tairay hotay, aakhir kar Qafla quam ka kiuon kahin bhatkae Kub voh haseen subh tuloo hogee Mard-e momin aayega samnae dut kae Eik hi baat ka charcha hae Amal ho Faydah kuch nahin sabaq rut kay Hum bhi watan kae sath muddat sae Chal rahae hain sath per zara hut kae Ab to apnee shakal youn lugti hae Rah gayae kis gobar mae atkae Yeh bhi tamgha kum nahin koee Hum ladtain hain aapas me dut kae Chad gaya hae warq chandi ka Khatae hain Bank sae sood dut kae Imaan ho gar ham sab ka pakka Phir kiuon rastah sae koi bhat kae Yeh zindagi ka silsila hae Shaikh Chand ko dekha barha oobhra,ghat kae Abdus Samad Shaikh
Posted on: Mon, 09 Sep 2013 05:40:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015