{ Kya Waje hai k Musalman Firqon me Taqseem Hai }******** Jub - TopicsExpress



          

{ Kya Waje hai k Musalman Firqon me Taqseem Hai }******** Jub sare Musalman aik aur Yaksa Quran ki pairwi karte hai to phir Musalmano me Itne zyada Firqe ya makatibe Fikr kyu hain? Musalmano ko Muttahid hona Chahiye: Ye sach hai k aaj musalman aaps me hi taqseem hai ilmiya hai k in tafarruqat ki Islam me har giz koi ijazat nahi hai, Deen Islam is baat per zor deta hai k Apne manne walo me Ittehad-o-yaganigat ko bar qarar rakhna chahiye. “ Sub mil ker Allah ki Rassi ko Mazboot Pakad lo aur Tafarruqe me na pado” (surah no:3, aayat no:103).Wo kounsi rassi hai jis ki taraf is aayate mubarka me Allah Tala ne Ishara Farmaya hai, Quran pak hi wo Rassi hai, Quran pak hi Allah ki wo rassi hai jise sare Musalmano ko Mazbuti se thame rakhna chahiye, is aayate mubarka me dhohra israr hai, aik Taraf ye hukum diya gaya k Allah ki rassi ko “mazbuti se thame rakho” to doosri taraf ye hidayat bhi hai “Tafarruqe me na pado”. Quran Pak me Mazeed irshad hota hai: “Aye logo! Jo Iman laye ho, Ita’at karo Allah ki aur Ita’at karo Rasool s.a.w ki aur un logo ki jo tum me Sahebe umr hon phir agar tumhare darmiyan kisi Muamle me Naza’a hojaye to use Allah aur Rasool ki taraf phair do Agar tum waqaie Allah aur roze Aakhir per Iman Rakhte ho, yahi aik sahi tariqa kar hai aur anjam k Aaitebar se bhi behter hai”.(surah no:4, aayat no:59) Tama musalmano ko Quran pak aur Mustanade Ahadees hi ki Pairwi karni Chahiye aur Aaps me Tafarruqa Dalna nahi chahiye. Islam me Firqo aur Taqseem ki mumani’at hai: Quran pak me Irshad hai: “ Jin logo ne apne deen ko tukde tukde kardiya aur guruh guruh ban gaye yaqinan un se tumhara kuch wasta nahi un ka muam’la to Allah k supurd hai aur Wahi un ko batayega k unho ne kiya kuch kiya hai”.is aayat me wazeh hota hai k Allah Tala ne hamen un logon se alag rahne ka hukum diya hai jo deen me Taqseem dalte ho aur use Firqo me bat te hon. Lekin Aaj jub kisi Musalman se Sawal kiya jaye “TUM KOUN HON? To umuman kuch aise jawabat milte hai: mai sunni hu, mai shia hu, Wagaira, baaz log khud ko hanafi,Shafai, maliki aur hambali bhi kehte hai, baaz log kehte hai “mai deobandi hu”. Hamare Nazdeek Nabi sallaallahu alaihi wasallam Muslim the: Aise musalmano se koi ye pooche k Hamare pyare nabi koun the? Kya wo hanafi ya shafai the? Kya wo maliki ya Hambali the? Wo musalman the, doosre tamam anmbiya ekram aur Rasoolon ki tarah k jinhen Allah Tala ne un se pehle mabuoos farmaya tha. Quran pak ki surah no:3, aayat no:52 mi wazeh kiya gaya hai k Hazrat Isa a.s bhi Musalman (muslim) hi the, isi surah mubaraka ki 67 wi aayat mi Quran pak batata hai k Hazrat Ibrahim a.s koi yahudi ya isai nahi the, bal k wo “muslim” the. Quran Paak hame khud ko “Muslim” kehne ka Hukum deta hai: Agar koi bhi shaksh aik Musalman se sawal kare k wo koun hai to use jawabn ye Kehna chahiye k wo Musalman hai, hanafi ya shafai nahi, Surah:Fussilat surah no:41, ki 33 wi aayat me Irshad hota hai, “aur us shaksh se achhi baat aur kis ki hogi jis ne Allah ki taraf bulaya aur Naik aml kiya aur kaha k mai musalman hu
Posted on: Sun, 17 Nov 2013 02:48:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015