MASJID KE AADAAB ->MASJIDO ME JOOTA PAHAN KAR DAAKHIL - TopicsExpress



          

MASJID KE AADAAB ->MASJIDO ME JOOTA PAHAN KAR DAAKHIL HONA MAKROOH HAI UN NAAPAK JOOTO KO PAHANKAR MASJID ME DAAKHIL HONA SAKHT HARAAM HAI [AALAMGIRI: Jild-5,Safa-282 ] ->MASJID KI SAFAAI KE LIYE ABAABILO Aur CHAMGAADDO WAGAIRAH KE GHONSLO KO NOCH KAR FENK DENA JAAIZ HAI [AALAMGIRI: Jild-5,Safa-282 ] ->MASJID KO RAASTA BANAANA, MASJID ME KOI SAAMAN YA TAAVIZ WAGAIRAH BECHNA YA KHARIDNA JAAIZ NAHI [AALAMGIRI: Jild-5,Safa-282 ] ->MASJID ME DUNIYA KI BAATE KARNA MANA HAI. MASJID ME DUNIYAWI BAAT-CHEET NEKIYO KO IS TARAH KHA LETI HAI JIS TARAH AAG LAKDI KHA DAALTI HAI YE JAAIZ KALAAM (BAAT-CHEET) KE MUTAALLIQ HAI, NA-JAAIZ KALAAM KE GUNAAH KA TO PUCHHNA HI KYA HAI [DURRE MUKHTAR / RADDUL MUHTAR] ->AZMAT Aur EHTARAM KE LIHAAZ SE SAB SE BADA DARJA MASJID E HARAM KA HAI FIR MASJID E NABWI KA FIR MASJID E BAITUL MUQADDAS KA, FIR JAAMA MASJID KA FIR MUHALLE KI MASJID KA FIR SADKON KI MASJID KA HAI [AALAMGIRI: JILD-5, SAFA NO-282] ->MASJID KI CHHAT PAR CHADHNA MAKRUH HAI, GARMI KI WAJAH SE MASJID KI CHHAT PAR JAMAAT KARNA BHI MAKRUH HAI HAAN, AGAR NAMAZIYO KI KASRAT (ZYADA TAADAD) Aur MASJID ME TANGI HO TO CHHAT PAR NAMAZ PADH SAKTE HAIN, (JAISA KI MUMBAI Aur KOLKATTA ME MASJID KI TANGI KI WAJAH SE CHHAT PAR BHI JAMAAT HOTI HAI) [AALAMGIRI: Jild-5,Safa-283 ] ->QIBLA KI TARAF MUNH KARKE PESHAB-PAKHANA KARNA JAAIZ NAHI HAI ISI TARAH QIBLA KI TARAF NISHAANA BANAAKAR US PAR TEER CHALAANA YA GOLI MAARNA MAKRUH HAI. Aur QIBLA KI TARAF THOOKNA BHI KHILAAFE ADAB HAI [AALAMGIRI: Jild-5,Safa-181 ] ->MASJID KO CHUNA Aur GACH SE MANAQQASH KARNA JAAIZ HAI Aur SONE CHANDI KE PAANI SE NAQSH Wa NIGAAR BANAANA BHI DURUST HAI JAB KI KOI SHAKHS APNE MAAL SE AISA KARE MASJID KE WAQF KE MAAL SE MUTWALLI KO AISE NAQSH O NIGAAR BANAANE KI IJAAZAT NAHI HAI LEKIN BAAZ MASHAAIKH e KIRAAM DEEWAR e QIBLA ME NAQSH O NIGAAR BANAANE KO MAKRUH BATAATE HAIN KI NAMAZI KA DIL UDHAR MUTWAJJEH HOGA Aur DHYAAN BATEGA [DURRE MUKHTAR / FATAWA-e- AALAMGIRI Jild NO-5, Safa NO-281] ->MASJID ME KHAANA, SONA MOATKIF KE LIYE JAAIZ HAI GAIR-MOATKIF KE LIYE KHAANA, SONA MAKRUH HAI AGAR KOI SHAKHS MASJID ME KHAANA YA SONA CHAAHTA HO TO USKO CHAHIYE KI ETEKAAF KI NEEYAT SE MASJID ME DAAKHIL HO Aur KUCHH ZIKR E ILAAHI KARE YA NAMAZ PADHE USKE BAAD MASJID ME KHAAYE Aur SOYE AGAR MASJID KE BAAHAR KOI IFTAR KARNE KI JAGAH HO JAB TO MASJID ME IFTAR NA KAREN, MASJID KE FARSH Aur CHATAAIYO KO KHAANE PAANI SE AALOODA NA KAREN [AALAMGIRI: Jild-5,Safa-282 ] #IMTIYAZ
Posted on: Sat, 23 Nov 2013 14:33:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015