✏Maa Baap K Muttaliq Kuch Ahadees E Kareema Hazrate Ibne Umar - TopicsExpress



          

✏Maa Baap K Muttaliq Kuch Ahadees E Kareema Hazrate Ibne Umar Radiallahu Tabarak Taala Anhu Farmate Hain k mere Nikah Me Ekk Aurat Thi Jise Mai Bahut Muhabbat Karta Tha Mere walid Ko Woh Pasand NA THI Unhone Mujse Farmaya Tum ise TALAQ De Do Maine Inkar Kiya To Hazrate Umare Farooq Tajdare Do Aalam K Pas Gaye Aur Waqya Zikr Kiya Aaqa E Kareem Ne Mujhe Huqm Diya K Uss Ko Talaq De Do. (VALID KA HUQM MANO) 󾔃Abu Dawood 1189★Ibne Maja 2088★ Masnade Ahmed 2 /20 Tajdare Ambiya Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam K Pas Ek Shaks aaya Arz ki Maine Bahot Bada Gunah Kar Dala Hai Kya Meree Tauba Ho Sakti Hai Aqa E Kareem Ne Irshad Farmaya Kya Tumhari MAA Hai Usne Kaha Nahi Farmaya Tumhari KHALA Hai Kaha Haa Aap Ne Farmaya Us K Sath Neki Karo. 󾔂Termezee 1903 󾕏Masnade Ahmed 2/13 Tajdare Ambiya Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam Ne Irshad Farmaya K Jis Ne Apne MAA Ya BAP K Taraf Se Hajj Kiya Use Usko Kifayat Karega Aur Unki Rooh Ko Aasman Me Basharat Di Jayegi Aur Allah Tabarak Taala K Nazdik Ladke Ko Nek Likha Jayega Aur Us K walid Ya walida Ko 1 Hajj Ka Sawab Likha Jayega aur Ess Ladke Ko 7 Hajj Ka Sawab Diya Jayega 󾔁Jame Ul Usool 210 󾓿Majmae Zawaeed 3/282 Ekk Sahabiya Aayee Arz Ki Meree MAA Aaee Hai Jo Mushrika Hai Aur Islam Se Earaz Karti Hai Kya Mai Uss Se Accha Suluk Karu ? Tajdare Ambiya Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam Ne Irshad Farmaya HAA Apni MAA Se Acha Suluk Karo 󾔃Bukhari Shareef 2620★Muslim Sharef 1003★Abu Dawood 1668 SubhanAllah SubhanAllah 󾭪Rabbe Kareem Hidayat Ata Farmaye Hum Sab Ko K Apne Waledain Ka Haq Pehchan-Ne Aur Ada Karne ki. Aameen
Posted on: Sun, 24 Nov 2013 15:27:46 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015