∗ Munafiqo Ki Pehchan ….. » Hadees : Abdullah Bin Umar(Razi - TopicsExpress



          

∗ Munafiqo Ki Pehchan ….. » Hadees : Abdullah Bin Umar(Razi Allahu Ta’ala Anhu) Bayan Karte Hai Ki Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Chaar Aadate Aesi Hai Ki, Jinke Andar Bhi Wo Hongi Wo Munafiq Hoga. Un Chaar Me Se Agar Koi Ek Paayi Jaayegi Toh Uske Andar Nifaaq Ki Ek Aadat Hogi, Yahan Tak Ki Use Chhor De”. ∗(1). Jab Bole Toh Jhoot Bole. ∗(2). Waada Kare Toh Poora Na Kare. ∗(3). Lade-Jhagde Toh Gaali Bake. ∗(4). Muaahida(Deal) Kare Toh Dhoka De. - (Sahih Al-Bukhari, Hadees No.2459) » Sabak : Munafiq Wo Log Hote Hai Jin Ke Dil Emaan Se Khaali Hai Lekin Emaan Waalon Ko Dhoka Dene Ke Liye Muhh Se (Zabani Tour Par) Emaan Ka Dikhaawa Karte Hai.
Posted on: Tue, 03 Sep 2013 17:24:19 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015