Mutton afghani qorma: Mutton with bones1 kg adrak ka paste 4 - TopicsExpress



          

Mutton afghani qorma: Mutton with bones1 kg adrak ka paste 4 tbsps lehsan ka paste 2 tbsps piyaaz bareek kati hui lachey mein 1 cup kaaju ka paste 5 tbsps till 2 tbsps jaifal powder half tsp namak hasb e zaiqa dahi 1 cup oil half cup choti ilaichi 2 white pepper powder 1 tbsp taiz paat 2 hara dhania serving ke liye 4 tbsps hari mirchein to serve method: sab se pehle oil mein piyaaz ko fry karlein. jaise hi golden brown karlain inko nikaal ker thanda karke mota mota crush karlain. phir tail mein lehsan adrak ka paste shaamil karke, choti ilaichi aur tez paat shaamil karke ismein chicken shaamil kardain. ab isko stir fry karain aur ismein adrak ka paste shaamil kardain. jab chicken aadhi gal jaaye to ismein dahi shaamil kardain aur saath hi aadhe se zaada piyaaz bhi. 20 minute tak pakaain aur aakhir mein baaki ke crushed piyaaz aur kaaju ka paste shaamil karke serve kijiye. ================ Achaari keema: beef keema half kg without charbi oil half cup namak hasb e zaiqa lehsan adrak paste 2 tbsps sonf 1 tsp kalonji 1 tbsp raai dana 1 tsp haldi 1 tsp asli timaatar ka paste 6 timaatar ka dahi 4 tbsps (box wala) methi dana 1 pinch hara dhania to garnish kutti hui laal mirch 2 tbsps hari mirchon mein bharne ke liye achaari masala: kutti hui laal mirch 2 tbsps namak hasb e zaiqa kalonji 1 tbsp methi dana 1 pinch raai daana 2 tbsps asli lemoo ka juice 8-10 tbsps haldi 1 tsp bhuna kutta dhania 2 tbsps bhuna kutta zeera 2 tbsps bari wali hari mirchein 10-12 method: sab se pehle tail mein chopped lehsan shaamil karke stir fry karne ke baad ismein kalonji, methi daana, raai shamil karke stirfry karain. ab keema aur tamaam masaalay shaamil kardain aur halki aanch per pakne rakh dain. ab alag se hari mirchon ke masalay ke tamama ajzako mix karke ismein lemoo ka juice itna milai ke masaala gaarha hojai. ab hari mirchon ko cut laga ker ismein yeh masaala bhar ker aik taraf rakh dain. keema jab 30 minute pak jaaye to ismein timaatar ka paste aur dahi shaamil karke mazeed 20 minute tak pakaain aur aakhir mrin dum dete waqt bhari hui hari mirchein shaamil kardain. hara dhania shaamil karke garma garam serve kijiye.
Posted on: Fri, 18 Oct 2013 10:04:46 +0000

Trending Topics



e="min-height:30px;">
Tajikistan Flag Long Sleeve Cycling Jersey for

Recently Viewed Topics




© 2015