Pakistani awam ka sub se bara masla deen se dori aur sheetan ki - TopicsExpress



          

Pakistani awam ka sub se bara masla deen se dori aur sheetan ki ataaut hai is jume imam saab ne aik baat kahi the keh hum sub dosre pe ilzam laga ke khush ho jate hain keh zardari aisa hai salman taseer aur bilawal be haya hain per kabhi yeh socha keh woh hum pe musalat kyon kya kabhi apne gireban mein jhanka ke tum kya ho. . . . Kya tumhe itna huq hai keh tum dosre ko bura kaho. . . Kya tum log Allah ke neak bande ho kya tumhare ghar mein cable naam ki besharmi nahi kya tum dhoka dene mein peeche hat te ho kya tum hamesha such bolte kya kabhi parosi se pocha hai keh aaj us ke ghar mein kuch paka hai ya woh bhoka soya hai kya kabhi socha hai keh Allah pak ke azabat kyon aa rahe hain kya woh khaliq jo apni makhlooq se maa se 70 guna zyada muhabbat kerta hai kya woh apne begunnah begunnah bandon ke khoon ko bakhsh de ga kya aaj koi muslim merta hai to tumhare dil mein itna gham hota hai jitna tumhare apne merne pe hota hai. . . Allah hum sub pe apna reham fermae aur girgara ke tauba kerne ki taufeeq ata fermae Aameen sum aameen - See more at: tafreehmella/threads/pakistani-awam-ka-sab-se-bara-masla-kiya-he.134566/#sthash.oUQQW2xp.dpuf
Posted on: Mon, 18 Nov 2013 08:51:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015