Pani Ki Ahmiyat Pani Ki Ahmiyat Pani Ki Ahmiyat Allah taala - TopicsExpress



          

Pani Ki Ahmiyat Pani Ki Ahmiyat Pani Ki Ahmiyat Allah taala sirf insaan, iss kainaat aur tamam makhlookat ka hi khaliq nahin hai, balkay insanoon ki zaroauriat bhi iss ki paida karda hain. Iss ka taluq insaan ka sath mehaz zabtay ke hakim hi ka nahi , balkay rehmat karne wala, inam dena wala aur ehsan karne wale ke bhi hai. Allah taala ne apni rehmat, apni neymatoon aur ehsaan ka mazahir per ghoaur-o-fikar ki dawat "Quran Hakeem" mein mutaded muqamaat per aur mukhtalif perayon mein diya hai. Irshad-e-bari taala hai. “Zameen Allah Taala ki nishanion se bhari pari hai aur door kyun jao tum khod apna upper ghoaur karo, tum in roshan haqaiq se kis tarah sirf nazar karo gay”.nahi atein”. (Luqman: 20) Khaliqe kainaat ki in tamam nasihatoon mein say jis neymat ka quran pak mein bar bar zikar hai, woh (water) Pani ki naimat hai, jis per insanoon ki hi nahi tamam jandaroon ki zindagi ka daromadar aur inehsar hai. Zindagi ki baqa ka is saman ka hasool ka sab se aham aur barda zariya barish hai. Barish ko Allah taalah ne bandoon ke haq mein apni rehmat qarar diya hai. yeh hai ka barish ka zaria se jo khushhali hoti hai woh kisi aik fard ka lia nahi, balka paura muashra ka lia hoti hai aur is ka lia zaroauri hai ka sara muashra aisi zindagi guzara jo Allah ka ahkam ka mutabiq aur isa khush karma wali ho taka muashra majmoi toaur per Allah taalah ka inamat wa ahsanat ka mustahiq ho saka aur barish sari abadi ka lia baja toaur per barana rehmat sabit ho. Allah taala ko khush karma wali baton mein say aik yeh bhi hai ka is ki naimatoon ki qadar ki jae. 1. Is naimat ka mayasar anay per izhar tashakur ke liye (pani) water inkisari ke sath baith ker piya jaye. 2. Pani (water) penay se qabal Allah ka naam liya jaye aur penay ke baad is farhat baksh aur hayat afreen shai ka hasil honay per Allah ka shukar ada kiya jaye. App (SAWA) ne pani (water) ke jo adab batain hain woh yeh hain kay pani (water) ko dakh ker peya jae , kisi baray bartan say mun laga ker pani (water) nay piya jae, pani (water) ruk ruk ker is tarah piya jae kay pani ka bertan mein saans na chaur na paray. App (SAWA) nay water ka zakhiroon mein ya in ka qareeb ghalazat karma say mana farmaya hay aur aam istafada ka water ko rook dena ya farokht karma najaeez qarar diya hai. Water zaya karna say mana farmaya hai aur water ka istimal mein kifayat shuari ka hokum diya hai. Ap (SAWA) nay farmaya ka khuwa tum behti nehar ka kinara betha ho tab bhi water ka istimal mein israf say perhaiz karo. Ahkam e elahi aur irshad-e-nabvi (SAWA) ko samajh lena kay bad ghoaur farmaia kay hamaray amal kiya hai aur tarz-e-amal kiya hai? Kahein ya ham pani (water) jesi dolat ki isi tarah hifazat kartay hain, jis tarah doosri dolaton ko bacha ker rakhtay hain? Halan kay akser doosri dolatan agar myasar nah on tab bhi admi zinda reh sakta hai aur rehta hai, lakin pani (water) aisi cheez hai jis kay baghar zindagi mohaal hai. pani (water) hi zindagi hai. pani (water) kay bagher koi zee nafs teen din say zyada jism-o-jaan ka rishta barqarar nahi rakh sakta. Teen din bhi atba nay zyada say zyada had rakhi hai, lekin pani (water) kay bagheir insan per jo kutch guzarti hai us ka kutch andaza roza daroon ko hojata hai. Pani (water) sir chashma hayat hai, pani (water) zariya sehat hai, water wasila quwat hai. Hayat water hi say peda hoi hai aur water hi tazgi wa tawanai ka minba hai insan ka jism ka beshtar hissa water hi per mushtamil hai aur zindagi ka afaal water ka bagher jari nahi reh sakta. Ghiza ka beshter hissa bhi water hi hai. Baaz shaded aur mohlik surtoon mein zindagi bachana ka wahid zariya jism mein pani pohnchana hai. Is pani (water) ko hum kis bedardi se phaktay hain, kis be niyazi se zaya karta hain aur kis ba aetnai se bahate hain, is ka bayan karna ki zarorat nahi. Ye her shaksh ka rozana ka mushahida hai, balkay amal hai, lekin jab pani mayasar nahi ata to aik aik qatre ka liye taraste hain aur takleef uthata han. Agar ghor karain to is takleef ka paida karna mein khud hamara bhi hissa hai. Aik sheri ki hasiat say ham agar apni zima dariyan samjhan to aisi takaleef peda no hon. Azad mulk ka sheri bohat say masail khud hal karleta han. Zimma dar sherion per mushtamil muashra sakoon-o-faraghat ki dolat say mala maal hota hai. Aaj duniya jin nazuk tareen masael say dochar hai, un mein pina ka water ki farahemi bhi shamil hai. Sharon aur qasboon mein saaf pani (water) ka mayasar ana rooz barooz mushkil hota jaraha hai. Is say nae nae masail janam lay raha han. Khusan tesri duniya ka mumalik ko qillat khurak ka elawa jis eham masla ka samna hai woh shehri aur dehi abadion ko saf water ki farahmi ka masla hai. Is lia ham ko aqwam mutehda ka shukar guzar hona chaia ka jis nay pichli sadi ki athwin dihai ko ishra aab qarar diya tha 1981 – 1990 ka das barsoon ko is zaroauri maqsad ka lia waqf karka sahih simt mein aik qadam uthaya gaya hai jis ko danish mandana kaha jasakta hai. Is iqdam ka bad tawaqa thi ka duniya ka beshter mulkon ki hukumatan apna masarif per nazar sani karan gi aur is ka natija mein amli iqdamat wa intazamat ka aghaz hoga. Aqwam ki satah per mansoba bandi aur intizamat ka sath yeh bhi zaroauri hai ka infiradi toaur per is nazuk suratehal ka sanjedgi ka sath jaeza liya jae aur water ki qilat ka pasha nazar is ka hasool aur istamal mein jitna tardid aur jitna tadbar ikhtiyar kiya jasakta hai kiya jae. Jitni kifayat aur ahteyat mumkin hai is say guraiz nay kiya jae. Agr aap nay ail loota water bhi zaya hona say bachaya to yeh samjhiya apna faida ka sath sath qaum aur insaniyat ki bhi khidmat ki. Abadi ki kasrat, dehaton say sheron ki taraf abadi ki muntaqli aur water ki barhti howi zarauriat say jo mushkilat peda haurahi han aur is say zyada aenda peda hona ka imkan hai, is ko zehan mein rakhia aur water ka aik aik qatra ko aabe-hayat samjhia. Aik musalman ki hasiat say to yeh hamara deni fareeza hai ka hadi barhaq (SAWA) ki hidayat per amal karan aur Allah ki is naimat ki naqadri nay karan. Israf say hamain mana kiya gaya hai. Israf jis chiz ka bhi ho baura hai. Water jesi chez ka israf to kisi tarah bhi gawara nahi hona chaia. Is masla ki nazakat agar pash-e-nazar raha to ham water ka aik qatra bhi beja saraf nay karan. Safai hamara eman ka juz h. water ko saf rakhna ka lia jo tadabir bhi ham ikhtiyar karsakta han, un say guraiz nahi karna chia. Yad rakhain, Pani (water) ko zaya hona say bachana humari zaraurat hai aur humara faraz bhi hai. Saaf Pani (water) lazman hayat bhi hai aur taqazai eman bhi.
Posted on: Sat, 28 Sep 2013 14:27:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015