Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai Every leaf and - TopicsExpress



          

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai Every leaf and every shrub here knows of my state Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai It is the flower that is unaware, but all the bower knows Chaaragari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin It is not their way, to heal: these denizens of the city of love Warna dilbar naadaan bhi is dard ka chaara jaane hai Yet even the innocent ones know the cure to a sick heart Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai Every leaf and every shrub here knows of my state Mehr-o-wafa-o-lutf-o-inaayat, ek se waaqif in mein nahin Not one here knows of kindness, loyalty, grace or generosity Aur to sab kuch tanz-o-kanaya, ramz-o-ishaara jaane hai Cruelty, sarcasm, mockery and taunts, of these they know Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai Every leaf and every shrub here knows of my state Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai It is the flower that is unaware, but all the bower knows Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain, We prostrated before the arrogant one, called him ˜God Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai In the name of God, what does that insolent one know of Him Aashiq saa to saada koi aur na hoga duniya mein There is no one in the world quite as simple as a lover Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai The squandering of his heart he sees as ecstasy Aashiq to murda hai hamesha ji uthta hai dekhe use He is but a corpse, the lover, but see! he lives again Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai She has come of a sudden and it is another lease on life Kya kya fitne sar par uske laata hai maashooq apnaa What disasters our lover brings down on his own head Jis bedil betaab-o-tavaan ko ishq ka maaraa jaane hai That restless, listless soul we had given up as lost Tashna-e-khun hai, apna kitna Mir bhi naadaan, talkhi-kash Parched for blood he is, and Mir the simpleton Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai Thinks the sharp edge of a blade an elixir Poet / Shayar: Mir Taqi Mir Singer: Mehdi Hassan youtube/watch?v=A373M8P6S6o
Posted on: Wed, 19 Nov 2014 23:18:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015