Plz Zaroor padhe Ek Kahawat Kafi Mashoor Hai Ki, Tali Kabhi Ek - TopicsExpress



          

Plz Zaroor padhe Ek Kahawat Kafi Mashoor Hai Ki, Tali Kabhi Ek Hath Se Nahi Bajti, Aajkal Sadko Par, Colleges Malls Ya Kisi Bus Stand Par Aap Ko Ye Behayi Wala Nazara Aam Dekhne Mil Jayenga, Har Sadaq Ki Nuqqad Par Ya Kisi College, Malls Me Hazaro Besharm Begairat Sadaqchap Majnoo Mil Jayenge Jo Khud Intezar Me Hote Hai Ki Koi Na Koi To Mil Jaye, Koi Na Koi To Jarur Aayengi, Ab Ye To Hogai Aawara Sadaqchhap Besharm Ladko Ki Kahani, Lekin, Kya Ek Islaami Khatoon Ka Burkha Jo Ek Islaami Sharia Ka Hissa Hai Wo Pehnne Ka Ye Sahi Tareeqa Hai???? Hargeez Nahi, Hansi Aati Hain Mujhe Hazrat E Insaan Par....!!! . Gunah Karta Hain Khud, La-anat Bejta Hain Shaitan Par...!!! ASTAGAFIRULLAH, Agr Aurton K Liye Hijaab Lazim Kiya Gaya Haj To Mardon K Liye Bhi Nazron ka Hijaab Zaroori Qarar Diya Gaya Hai, Lekin, Akser Mard Ye Kehker Nazron K Hijab se Khud Ko Azaad karlete Hai K Jjii Jab Ladki Hi Hijab Nahi Karti To Hum Fir Kyuna Dekhein Usko, Uski Ghlti Hai, Beshak Pahli Ghlti Ladki ki Hai Per Dosri Ghlti Aapki Hai Jo Usko Dekh Rahe Ho, Chaliye Ab Quraan Aur Hadees Ki Daleel Mein Is Mawzoo Ko Behtar Tariqe Se Samjhtey Hain, *Al Quraan* FARMAN E RAB UL ALAMEEN HAI Musalman Mardon Se Kehdo k Apni Nigahein Nichi Rakhein Aur Apni Sharam Gahon Ki Hifazat Rakhein .Yehi Inke Liye Pakizgi Hai,Log Jo Kuch Karein ALLAH Taala Sabse Bakhabr Hai, Aur Musalman Aurton Se Bhi kehodo K Wo Bhi Apni Nigahein Nichi Rakhein Aur Apni Asmath Mein Farqh Na Aane Dein Aur Apni Zeenat ko Zaher Na Kerein (Sureh Al Noor Aayat 30) Hazrath Jarer RaziALLAHU Anhu Se Rivayat Hai Ki Mainey RasoolALLAH (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Se Pucha Ki (Ghair Mahram Par) Achank Girney Wali Nazar Ka Kya Hukm Hai To Aap (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Ne Farmaya Ki Tu Apni Nazar Pher Le. (Sunan Abu Dawud, Vol 2, 381) Hazarat Buraydah ibn Al Hasib RaziALLAHU Anhu Se Tivayat Hai Ki, Aap RasoolALLAH (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Ne Hazrart Ali RaziALLAHU Anhu Se Farmaya Nazar ki Pairwi Na Karo (Gair Mahram Ki Taraf ) Pahli Nazar To Jayaz Hai Magar Dusri Nigah Jayaz Nahi. (Sunan Abu Dawud, Vol 2) To Ye Raha Is Mawzoo Per Deeni Nazariya, Ab Duniyawi Nazariya Kuch Is Taraha Hai Ki, Hamesha Ek Baat Yaad Rakhiye, Agr Apki Nazron Se Dosron ki Bahen Betiyan Mehfuz Rahengi To Yaqeen Jaaniye Apki Bahen Beti Bhi Dosron ki Nazron Ka Shikar Nahi Baneingi, Aur Meri Behan Agar Tu Khud Chahti Hai Ki Teri Aane Wali Nasle Paak Daman Rahe To Pahle Tuje Paak Daman Hona Honga, Keep Sharing, #Alonee..
Posted on: Sun, 02 Feb 2014 04:31:17 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015