Q. Taziya (or) peer Uthana Kesa Hai..?? Ans. ∗ Shok Ki - TopicsExpress



          

Q. Taziya (or) peer Uthana Kesa Hai..?? Ans. ∗ Shok Ki Muddat …… » Hadees: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, “Kisi Emaan Wale Ke Liye Halaal Nahi Ke (3) Teen Din Se Jiyadah Shok (Ghum) Kare, Sirf Beva Aurat Ke Siva, Ke Uske Shok (Ghum) Ki Muddat Char (4) Mahine Das (10) Din Hai. -:(Bukhari Sharif, Tirmizi Sharif, Tohfa-e-Najat Part-11 Page-49) » Hadees: Abdullah Bin Abbas (Radiyallahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaya: “Jo Mooh Par Tamache Mare, Kapde Fade, Aur Jaahil Logo Ki Tarah Chilla Kar Roye Wo Hum Me Se Nahi”. -:(Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Tohfa-e-Najat Part-11 Page-50) » Hadees: Aagar Aashura Ke Din Maatam Karna Jayez Hota Toh Sahaba-e-Kiram Aur Tabayeein-e-Kiram Bhi Aisa Karte, Lekin Unhone Maatam Nahi Kiya Balke Aashura Ke Din Unhone Apne Ghar Walon Par Khaane Pine Me Farakhi Karte Aur Roza Rakhtey. -:(Guniyatuttalibin Part-16 Page-482) Note:Yaha Shouk se Tajiyah Ka Koi Tallukat nahi Farmaya gaya , Balke Pata Chala ki AASHURA Ke Din Kapde Fadna, Baal Nochna, Sar Par Mitti Dalna, Seena pitna, Dhol, Nagade, Tashe Bajana, Taziya Nikalna Wagaira Jahalat Ke Kaam Hai.
Posted on: Sat, 02 Nov 2013 22:32:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015