QURBANI KIS PAR WAJIB HE: 1:...Kisi shakhs ne qurbani ki mannat - TopicsExpress



          

QURBANI KIS PAR WAJIB HE: 1:...Kisi shakhs ne qurbani ki mannat mani ho to us pr qurbani wajib he.(badaiA:5/61) 2:..kisi ne marne se pehle qurbani ki wasiyyat ki ho or itna maal choda ho k uske tihay(1/3)maal se qurbani ki ja sake to uski taraf se qurbani krna wajib he.(Aalamgiri:5/306) 3:..Jis shakhs pr sadka e fitr wajib he us pr qurbani k dino me Qurbani b wajib he,lihaza jiske paas Rehne ka makan,khane pine ka saman,istemal k kapde or rozana istemal ki dusri chizo k Alawa sarhe bawan(52.5)tola chandi ki maliyat ka Naqad rupeea,tijarat ka saman ya dusra saman ho us pr qurbani wajib he.(Durr:6/312) *masalan ek shakhs k paas 2 makan he 1 me rehta he dusra khali he to us pr qurbani wajib he jabke us makan ki qeemat Sarhe bavan tola chandi ki maliyat k barabar ho.(aalamgiri:5/293) *ya masalan:ek makan me khud rehta he or dusra kiraye pr diya he to us pr b qurbani wajib he Albatta uski kamai ka zariya hi yahi makan ka kiraya he to ye b zaruriyat e zindagi me shumar hoga or us pr qurbani wajib nhi hogi.(Bazzaziyah:6/287) *ya kisi k paas 2 Gadi he ek aam istemal ki or dusri zayid to us pr b qurbani wajib he.(Aalamgiri:5/293) * ya kisi k paas 2 plot he ek makan banane k liye or dusra zayid he to agr dusre plot ki qeemat sarhe bavan tola chandi ki maliyat k barabar ho to us pr qurbani wajib he.(Hawala sabik) 4:..Aurat ka mahar(Muajjal)itni maliyat ka ho to us pr b qurbani wajib he ya waliden ki taraf se diya gaya zewar or shadi me mili zayid chize nisab k barabar ho to us pr qurbani wajib he.(hashiya radd:6/312) 5:.. ek shakhs mulazim he uski monthly income se uska guzar basar hota he,bachat nhi hoti,us pr qurbani wajib nhi,jabke uske paas koi or maliyat na ho.(Durr:6/312) 6:.. Ek shakhs k paas qabile kasht zamin he jiski pedawar se uski guzar awqat hoti he to wo zamin uski zaruriyat me se he isliye kuch aur na ho to qurbani wajib nhi.(aapke masail..:5/408) 7:.. ek shakhs k paas hal jotne k liye bel or dudhyari gaye bhens k alawa Aur janvar itne he k unki maliyat nisab(52.5 tola chandi)ko pahunchti he to us pr qurbani wajib he.(bazzaziyah:6/287) 8:..ek shakhs Nisab ka malik nhi,na qurbani us pr wajib he (Garib)lekin us ne shouk se qurbani ka janvar kharid liya to qurbani wajib he.(Aalamgiri:5/291) 9:..Musafir par (chahe maldar ho) qurbani wajib nhi.(Aalamgiri:5/292) 10:..Sahih call k mutabik bache or pagal pr qurbani nhi chahe maldar ho.(Al Fiqhul islami:3/603/604) AGAR MUJHSE LIKHNE ME KOI GALTI HUI HO TU MERI ISLAAH KARE
Posted on: Sun, 06 Oct 2013 06:52:37 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015