REALITY OF BABRI MASZID:- . 1- 1528 me mir baki ne babri masjid - TopicsExpress



          

REALITY OF BABRI MASZID:- . 1- 1528 me mir baki ne babri masjid banwayi aur namaj ka silsila chalu hua, Tuzk Babri aur Babarnama me ki mandir ko todne ka zikr nahi hai. 2- 1575 me tulsidas ne ramcharitra manas likhi magar kisi bhi mandir ke todne ka varnan nahi kiya. 3- babar ke katu alochak aur uske samkaleen guru nanak ne bhi mandir todne ka varnan nahi kiya jabki nanak ne ayodhya me kuch samay bitaya tha. 4- 1857 me masjid ke bagal me deewar utha kar khali plot me se 1 hissa hinduo ko de diya. 5- 1883 ki may month me hinduo ne us hisse me mandir banana chaha magar govt ne permission nahi di. 6- 1885 24 dec. Ko court ne hinduo ki mandir banane ki arzi radd kar di, hinduo ne khud use babri masjid likha us samay tak hinduo ka babri masjid par ko dawa nahi tha. . 7- 1886 26 march ko court ne hinduo ki appeal bhi kharij kar di. 8- 1877 pahli bar faizabad grant ne H.R.NAVAIL ne bina kisi sakshaya ke ye note chadhaya " 1528 me babar ne 1 hafta ayodhya me bitaya,mandir dhahaya aur masjid ka nirman kiya" jabki itihasik tathyo ke anusar babar kabhi ayodhya gaya hi nahi.uska ayodhya se nikattam prawas 110 k.m. Door tha jaha se wo guzra tha. 9- 1934 hindu-muslim dango ke dauran babri masjid ko nuksan pahuncha. 10- 1949 22 dec. Ki rat me masjid ke andar murtiya rakh di gai. 23 dec.ko court ne tala dalwa diya,musalmano ke pravesh par rok aur hinduo ko pooja ki anumati dekar pahli bar masjid vivadi bana di gai. . 11- 1950 16 jan. Ko musalmano ne masjid bahali ke liye court me sampark kiya, magar court ne murti na hatakar hinduo ke puja- path ko barkarar rakha. 12- 1951 1 july ko court me dyissioner s.p. Ka bayan ki yeh babri masjid hai aur musalman 1925 se 1949 tak yahan namaz ada karte rahe hai. 13- 1986 27 jan ko faizabad court me hinduo ne babri masjid par kabze hetu arzi di. 28 jan ke court adesh hua ki tamam cases high court transfer ho gaye isliye arzi radd ki gai. . 14- 1986 30,31 jan ko order ki khilaf district judge ke yahan appeal ki gai.musalmano ne bhi arziya di sab radd kar di gai. 15- 1 feb ko high court ki parwah na karte hue district judge ne 4:45 par tala kholne ki anumati dedi. 5:12 par tala khola gaya aur puja-path shuru kar diya gaya, 2 baje se hi faizabad me P.A.C. ki 7 company tainat kar di gai thi muslim ilaako ko gher liya gaya aur raat me t.v. Par puja aur darshan telecast kiya gaya nateeje me india me dange bhadak uthe. 16- 1989 nov me high court ne babri masjid se mili hui jagah ko jyo ka tyo rakhne ka adesh diya kintu usi jagah par shilanyas ki rasam ki gai. 17- 1990 sep. Me advani dwara hinduo ko bhadkane hetu somnath se ayodhya tak rath yatra ka program. 23 oct ko bihar ki lalu parsad govt ne advani ko arrest kar liya. 18- 1991 oct me govt ne masjid ki 7.22 acre zameen aquire kar li. 19- 1991 nov. Me supreme court ka u.p. Govt ko order ki masjid ko jyo ka tyo rahne diya jaye. 20- 1992 may se july tak kalyan singh ke netratva wali b.j.p shasit u.p.govt mandir banane ke liye vivadit jagah par nirman karya jari rakhti hai. 22 july ko supreme court ke sakht adesh ke jawab me govt apni vivashta prakat karti hai parantu nirman karya jari rahta hai. Nov me u.p.govt aur sampradayik sangathan supreme court ko yakeen dilate hai ki ko nirman karya nahi hoga, babri masjid surakshit rahegi aur uski suraksha ki jayegi. 6 december ko u.p. Govt ki sarparasti, central govt ki maun sweekriti aur sampradayik partiyo ki shah par pahle se tai plan ke tahat sampradayik n ugrawadi karsewak 5 gahnte ne babri masjid ko shaheed kar dete hai. Jo Yeh Kahte Hain Babri Masjid Mandir Tod Kar Baai Gai Hai Unse Bada Jhoonta Koi Nai Hai.....mustShare
Posted on: Sat, 17 Aug 2013 03:29:04 +0000

Trending Topics



v>

Recently Viewed Topics




© 2015