Radha Soami JI Ques Ans Delhi 11.10.2013 One boy asked- Baba g - TopicsExpress



          

Radha Soami JI Ques Ans Delhi 11.10.2013 One boy asked- Baba g jese aap aaye ho physically aur 3 din bad chale jaoge to hum aisa kya Karen ki aap hamare andar hamesha raho, hume ye na lage ke aap chale gaye ho? Jab ap nai hote to main apko miss karta hun to ap muje apne pas bula lo. Babaji. Sangat laughed, Guru apne disciple ke hamesha sath hota hai kabi usse alag nai hota aur physical darshan se better hai ki aap inner darshan karo aur vo bhi with determination and faith, bhajan simran karo aur inner darshan ko importance deni chahiye. Q2. One girl asked – Babaji I would like to ask you a very important question. I read the book ‘Treasure beyond measure’, in that its written that there are two kinds of salvation, one is salvation and another is grand salvation. (The moment she asked this question Babaji was quite amazed and raised his eyebrows and was giving her a very surprised look as if he was surprised that she has analysed the book very deeply). Babaji. Achha tu mera intehaan le rahi hai. Q. Contd. No Babaji I am a teacher and if I have to explain my students about the difference between two terms how will I explain. Babaji. Babaji smiled and said ‘Dekho beta salvation hoti hai………dekho beta yeh main tuje andaze se bata raha hun ki jo hamara cycle of birth and death hota hai vo continuous rehta hai jaise ki maut aaye to mukti aur fir agle janam men entry, lekin grand salvation hota hai jab jivan maran ke chakar se permanent mukti mil jati hai, jab us Parmatma ke sath meri soul mil jati hai. Q3. One boy asked – Babaji mere chachaji property ka kam karte hain aur unhe corruption karni padti hai lekin Sant Mat men sikhaya jata hai ki corruption nahi karni chahiye. Agar main is property business men ana chahun to kya karun? Babaji- Babaji ne seriously kaha, dekho beta sabse pehle to humen ya bat jan leni chahiye ki hume ungli nahi uthani, especially jo humse bade hain unpe nahi uthani chahiye, ye galt baat hai ye hume shobha nahi deta, unki apni kuch majburiya hongi, kuch family ko lekar ya kuch aur majburi jiski wajah se unhe ye karna padta ho. Sant Mat ke hisab se humen corruption nahi karni chahiye, humen khud ye cheez follow karni chaiye, lekin humen kisi pe ungli nahi uthani chahiye. Q4. One boy asked – Babaji, Naam daan ka kya taarparya hai? Babaji – Beta dobara puchna. Babaji Naam daan ka kya ………….? Q. Contd. Babaji, tatparya, matlab arth kya hai. Babaji – Achaa, meaning, tu itni shudh hindi bolega to men jawab kese dunga. Sangat laughed. Beta Naam dan ka arth hai Shabad ki practice karna jisse hum us Malik ko paa saken, bhajan simran karke. Q5. One girl asked – Babaji, Puran Purakh ki pehchan kese ki jaaye? Babaji – Beta, jab hamara apka dayra hi itna chhota hai, jab hum hi perfect nahi hain to hum kese kisi Puran Purakh ki pehchan kar payenge. Humen bas ek vishwas ke sath chalna hai aur ye dekhna hai ki hamara purpose pura ho raha hai unki madad se ya nahi. Agar hota hai to unhe follow karo. Dekho beta, jab koi bachha School men padhne jata hai to kya wo teacher ka imtehan leta hai, woe k vishwas ke sath padhta hai ki teacher ko puri knowledge hai, pura gyan hai us subject ka, aur wo usko puri knowledge dega. Q6. One girl asked – Babaji men married hun, mere sasural wale koi bi Sant Mat ko nahi mante, sirf men akeli ati hun satsang par, wo muje zabardasti vrat rakhne ko kehte hain aur mujhe tokte rehte hain ki satsang kyon jati hai, to men aisa kya kahun unh eke wo muje dobara na toke? Babaji – Beta, humne kisiki burai nahi karni, sabka apna apna belief hota hai, sabka apna apna vishwas hota hai, sabko respect deni chahiye aur jo apko vishwas hai apko vahi follow karna chahiye. Rabb kyon chahega ki uska bhagat uske liye bhooka rahe, ek aisa bi vrat hai jisme bechari auraten poora din bhooka rehti hain taki pati ki umr labmi ho sake. Agar ye sach hota to koi bhi saas apni bahu ko roti na deti. (Sangat laughed). Dekho beta, ye sab kisse kahaniya hamare sikhne ke liye hain jo us waqt hui thi, inka purpose humen shiksha dena tha, na ki symbolically follow karne ka tha. Baki beta jo unhe vishwas hai wo unhe karne do aur jo tumhe follow karna hai tum follow karo. Dekho beta Guru Nanak Ji ke do bhagt the, Mardana aur Lehna, Mardana ko to har waqt bhook lagti thi, jaha wo jata tha yahi dhundta tha kuch khane ki jaga mile, to kya beta usse Guru ka pyar kam ho gaya kyonki use bhook lagti thi. Q7. One girl asked – Babaji, men jis School men teacher hun wo Sanatan Dharm ko mante hain aur uski vajah se muje us School men ritual hote hain muje uska hissa banna padta hai. Mene Naam daan bi liya hai. Muje ye ritual follow karne se problem to nai hogi na? Babaji – Nahi beta, wo unka apna faith hai aur koi bi faith galt nahi hota, in sab ka apna apna dayra hai. Jese bachha pehle KG men jata hai, fir pehli men fir doosri men, isi tara wo aage badhta hai, agar wo kahe ek dum se muje College men admission chahiye to wo possible nahi hoga. Isi tarah Spirituality men bi dheere dheere ek step se doosre step upar chadhte hain aur hare k step ki apni importance hoti hai. Ismen kuch galat nahi hai, isilye jo jiska faith hai usko follow karne do aur usko respect do, humen kisipe ungli nahi uthani. Q8. One girl asked – Babaji, hum jo apse bolte hain kya ap vakai sunte ho? Babaji – Laughter in sangat, Babaji also smiled and looked at her with suspicion. Beta, e taan vishwas di gall e. tujhe kya lagta hai? Then He gave a very sweet smile and was trying to express something with his eyes which might be ‘yes’. Tenu ki lagda e? Q. Contd. The girl understood his expressions and was satisfied with his answers and said ‘haanji Babaji, Radha Soami’. Q9. Babaji, Naam daan mile bagair hum Bhajan Simran kar sakte hain? Babaji – Nahi. Beta jab tak naam daan na mile humen bhajan simran nahi karna chahiye kyonki humen uski puri knowledge nahi hai, pura gyan nahi hai isiliye hume Meditation bina naam daan nahi karna chahiye. Dekho beta, jese humne exam pass karna hai to hume uski knowledge honi chahiye, tabi hum exam men baith sakte hain. Q10. One boy asked – Babaji, jise naam dan milta hai use to ap leke hi jate ho death ke bad, agar muje naam nahi mila to kya muje leke jaoge? Babaji – Laughter in sangat, Babaji also smiled. Dekho beta agar apne school pass karna hai to apko pehle admission leni padegi, fir ap mehnat se padhai karoge, fir exam pass karke aap school pura padh loge, fir ap College men admission loge, fir College ki degree milegi, aur jab degree milegi to uska matlab ap pass out ho gaye, aur jisko Guru ne le jana hai usko naam daan denge. Q11. One girl asked – Babaji, humen ye sikhaya jata hai ki hume ache karam karne chahiye taki hamari after life sahi ho, lekin hume aisa kya karna chahiye ki hamari present life sahi ho. Babaji – Babaji ne kaha ki ‘dekho beta pichhle karmas ka fal to humen bhogna hi hai, bas humen ye dhyan rakna hai ki humein ab apni koi bi galtiyan repeat nahi karni hain, Sant Mat ke raste pe chalna hai. Babaji – Babaji ne kaha ki ‘dekho beta pichhle karmas ka fal to humen bhogna hi hai, bas humen ye dhyan rakna hai ki humein ab apni koi bi galtiyan repeat nahi karni hain, Sant Mat ke raste pe chalna hai.’ Q12. Babaji, kehte hain ki pichhle janm men jo galtiya ki hoti hain unhe humen is janam men bhogna padta hai, humen kya pata pichhle janam men humse kya galtiya hui thi, hum aisa kya Karen jisse humen ye pata chal jaaye ki humne kya galtiya ki thi pichle janam men, taki hum unko repeat na Karen taki naya karma na bane. Babaji – Sangat laughed, Babaji smiled. Deko beta, kabi aisa hua hai ki humne jo galtiya ki hai humne repeat na ki ho. Pichle janam ki galtiya janke koi fayda nahi, humne to fir bi galti repeat karni hi hai, itihaas kholke deklo, jo Raaje Mahaaje aa rahe hain itne saalo se wo ab bi repeat ho rahi hain, ab bi kuch nai badla, bas is mann ko kabu men rakho aur try karo ki galtiya repeat na hon. Bas beta, ye hamesha samajh lena ki, vese bure karam karoge to bura fal milega hi, lekin agar Naam daan leke karoge to humein double fal bhugatna padega. Q13. One boy asked – Babaji, sant mat kya hota hai? Babaji – Sant Mat ka arth hai Santo ka mat, ek nahi sabhi Santo ka jo samay samay par aate rahe hain aur humen ek hi updesh dete rahe hain ki us Malik ki bhakti karo. Q14. One boy asked – Babaji, men kuch aisi galtiya karta hun jo mere mata pita ko achi nahi lagti aur wo hamesha mana karte hain, lekin men fir bi karta hun, emn kya karu? Men aisa kya karun ke men yeh buri adaten chhod du? Babaji – Beta, man ko to kabu karna padega, baki kuch aadten aisi hoti hain, jinse thodi der karne men to maza ata hai, acha lagta hai lekin thodi der bar guilt feeling hoti hai, to beta iska matlab wo adat buri hai, wo humen repeat nahi karni chahiye. Q15. Babaji, man men jab negative thoughts aaye to use positive thoughts men kese badle? Babaji – Beta, sabke man men 2 tara ki thoughts hoti hain, negative and positive. Jab bi negativity aaye to use positive thought men badal lena chahiye, har ek event ko use positive way men socho aur ye socho ki uska koi positive purpose tha. Q16. One boy asked – Mere 2 bhai aur ek behan hai, un sab ka selection nahi ho raha. Babaji – Kis cheez ka selection nahi ho raha hai, shadi ka? Sangat laughed. Q. Contd. Nahi Babaji, job ka. Babaji – Dekho beta, jaha job lagni hogi, jab lagni hogi, zarur lagegi aur sahi time aane pe lagegi, unhe kaho ki exam dete rahen, interview dete rahen, kabi na kabi to kamyabi milegi. Q17. Babaji, kehte hain mehnat ka fal zarur milta hai, lekin meri bhua ji boht mehnat karti hai, bohut padti hai, bohut interviews di unhone, unki selection nai hua. Babaji – Dekho beta, hare k cheez ke peeche purpose hota hai. Jaha unka selection nai hua, uske peeche bi koi reason hoga, aur jaha unka selection hoga, uska bi koi purpose hoga. Jese aaj kal election shuru hone wale hain, 12 candidates hain, usme se ek hi jitega na, sare to nai. Isi tara se, jaha uska selection hoga usmen sirf usika hoga. Q.18) Babaji, me jis bhi cheez me mehnat karta hu muje uska phal nai milta. Babaji- Beta, apne mehnat karna nahi chhodna hai. Ek na ek din zaroor kamyabi milegi. Mene pehle bhi kaha hai uske ghar der hai andher nahi. Ap mehnat karte jao beta. Sahi time aane par, ek na ek din zaroor fal milega. Q.19) Babaji, namdan ki age 25 kyu he ? Babaji- Beta har cheez ka purpose he. Namdan ki age 25 issiliye he kyuki usse pehle ki age me aap jaldi kisi k influence me aa jate ho, bahut jaldi achi buri cheezo ka asar hota he, kuch achi buri adaten bhi lagti he. Jab hum 25 k ho jaate he to ek maturity aa jaati he ki hume kya karna he kya nai karna. Or jab taka p 25 k nai hote tab tak aap mann ko kabu me rakhne ki practice karo. Achi sangat me raho, ruhniyat ki taraf zyada zhukav rakho. Q.20) Babaji, jese gadi bangle paise pane k short cut here to aese hi mukti pane k koi short cut nai he? Babaji- Beta aj kal k youth ko harr cheez ki jaldi he – jaldi jaldi bade ho jaye, jaldi jaldi job ho jaye jaldi jaldi shaadi ho jaaye, jaldi jaldi divorce ho jaaye! Beta patience rakho. Ruhaniyat ka koi short cut nai he. Hard work karo. Aese yaaha kai he jinhone aese hi naamdan le lia aura b jaanne ki koshish kar rahe he ki sant mat he kya?!! Humne pehle knowledge gain karni chahiye tabi namdaan lena chaoiye. Ye jigyasa bas namdan tak rehti he, usske baad to bas neend aati he. Q.21) Babaji, Sant mat men hamesha sikhate hain ki humen rude nahi hona chahiye aur koi kuch bhi kahe humein hamesha jhuk ke rena chahiye, use kuch nahi kehna chahiye? Lekin Babaji, jo jhukta hai log uska fayda bhi uthaate hain, to fir hum kya Karen? Babaji- Beta, sabse pehle to humein yahi try karna chahiye ki koi humen bura kehta hai ya rude hota hai to humein ignore karna chahiye. Lekin, yaad rakhna, ki itna bhi mat jhukna ki tume koi Doormat ki tara treat kare, jab marzi raundh ke chala jaaye, jaha pe bolna chahiye vaha zaroor bolo taki koi tumhara fayda na utha sake. Q22) Babaji, men jaha kam karti hun vaha pe har tara ke log hote hain, wo khate pite bhi hai, kuch colleagues mujhse share bhi karte hain to kya mere bhi karam bante hain? Babaji- Babaji smiled and said – Beta humen society men rehna hai, to agar koi apke sath share karta hai to ap bhi apna khana uske sath share karo, usme koi burai nahi hai. Agar koi khata pita hai to ap unko khane do, wo unka apna belief hai, baki jo khate pite hain unhe khane do, apko jo pasand hai wo khao aur unhe jo pasand hai unhe khane Radha Soami ji
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 18:17:47 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015