∗ Ranj Me Aasman Barabar Ke Gunaah Bhi Muaf ….. » Hadees : - TopicsExpress



          

∗ Ranj Me Aasman Barabar Ke Gunaah Bhi Muaf ….. » Hadees : Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Irshad-e-Girami Hain Ki, “Agar Tumne Aasmaan Ke Barabar Gunaah Kerliye Aur Fir Sharminda Hoker Tauba Kerli Toh Allah Ta’ala Tumhari Tauba Qubool Kerlega! Aur Farmaya, “Aadmi Gunah Karta Hain Fir Usi Gunaah Ki Wajahse Jannat Me Dakhil Hota Hain! Pucha Gaya Huzoor Wo Kaise?” Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Gunaah Ke Baad Fauran Uski Aankhen Allah Ta’ala Ke Darbar Me Aansu Bahaati Hain!”. -: (Mukashfatul Kulub, Pg-123) » Hadees : Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Ek Habshi Haazir Hua Aur Arz Ki, “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mai Khataye Karta Hoon, Kya Meri Tauba Kubul Hogi?” Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Haan!” Wo Kuch Door Jaker Wapas Laut Aaya Aur Daryaft Kiya Ki, “Jab Mai Gunaah Karta Hoon Toh Allah Ta’ala Dekhta Hai?” Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya, “Haan! Habshi Ne Itna Sunte Hi Ek Cheek Maari Aur Uski Rooh Parwaaz Ker Gayi!” “Inna-Lillaahi-Wa-Inna-Ilaihi-Raaji-Ooun” -: (Mukashfatul Kulub, Pg-123)
Posted on: Mon, 29 Jul 2013 10:27:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015