♣ Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan ♣ Masla – - TopicsExpress



          

♣ Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan ♣ Masla – Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Rozah Toot jaata hai. ♣ Masla – Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat(Charas) wagairah Peene se Rozah toot jaata hai. ♣ Masla – Paan ya Tumbaku khaane se Rozah toot jaata hai. ♣ Masla – Shakar(Sugar) wagairah aisi Cheezein jo munh Mein rakhne se ghul jaati hai, Munh Mein rakhi aur Thook nigal gaya, Rozah toot gaya. ♣ Masla – Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar ya zyaada thi use kha gaya ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar phir kha li to dono Surton Mein Rozah toot gaya. ♣ Masla– Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua,Rozah toot gaya. ♣ Masla – Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq se neeche utra Rozah toot gaya. ♣ Masla- Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala Gaya Rozah Toot Gaya ♣ Masla – Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Rozah toot jaata hai(Fatawae Razwiya). ♣ Masla – Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya, Rozah toot gaya. ♣ Masla – Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag ko chadh gaya Rozah toot gaya. ♣ Masla – Aansu ya Paseena Munh Mein chala gaya aur nigal gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Mein Meinhoos huyi, Rozah toot gaya. ♣ Masla – Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Rozah toot gaya. ♣ Masla – Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal gaya Rozah Toot Gaya ♣ Masla – Ye Gumaan tha k Subah Nahin hui aur khaya ya piya baad ko Maloom hua k Subah ho chuki thi Rozah na hua. ♣ Masla – Ye Gumaan tha k Aaftaab Doob gaya Aur Iftaar kar liya Baad ko Maloom hua k na Dooba tha Rozah na hua. ♣ Masla – Jiska Rozah toot gaya Maslan Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki reh gaya use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai. ♣ Masla – Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Rozah toot jaata hai. ♣ Masla – Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha , Rozah toot gaya. ♣ Masla – Manjan Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch Ajza Halaq se neeche utar gaye Rozah toot gaya. ♣ Masla – Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamaal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Rozah toot gaya. Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Rozah toot Jaayega. ♣ Masla – Sheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder) Rakhkar upar ko Saans Kheechne se Rozah toot Jaayega.
Posted on: Fri, 12 Jul 2013 23:38:04 +0000

Trending Topics




© 2015