SATIYON AAP POORA PADHKAR UCHIT LAGE TO BHAVI PIDHIYON KE BEHTAR - TopicsExpress



          

SATIYON AAP POORA PADHKAR UCHIT LAGE TO BHAVI PIDHIYON KE BEHTAR BHAVISHYA OR TRANSPARENT SYSTEM KE LIA ISE JANHIT ME JAROOR SHARE KAREN.. JAI HIND. Aaj rajkiya shikshak ekta munch ki d dun ongc sabhagar mai ek baithak thi jo rajya ke hit k lia aniwarya transfer act ko banwane per kendrit thi. Sathiyon hum pichhle 8 varshon se shiksha vibhag ka ek ang hain or lagbhag shangh ki shaikshik unayan baithakon me pratibhag karte hain lakin chunav ke nam pe unayan sabd ek majak bankar reh jata tha, kintu aaj ek shukhad anubhav huwa ki ground leval pe shiksha ke sudhar hetu karya rat rajya ke vibhin district k samanit shikshakon me saikshik sudhar me unayan k lia josh or junoon dikhayi diya. Jisse hame majbooti mili. Sathiyon baithak k mahtwapurn bindu charcha me is prakar rahe:- 1:- rajya hit me sabhi vibhagon hetu ek sasakt act ho. 2:- Act banane ke lia drafting committee me 50%aam shikshak ya samaj ke budijivi log hon jo shanghon me padon per karyarat na ho,30% bibhag or shashan k log hon, 20% shaghon k padadhikari hon. 3:- Act banane ka mool shankalp durgam chhetra me gov. Employ hetu aniwarya transfer se durgam chhetra ke aam jano ko gov ki yojnaon se labhanwit karwana hai taki palayan ko roka ja sake v behatar suvidhayen durgam me aam nagrikon ko prapt ho saken. 4:- Act me shangh ke kisi bhi purv v vartman padadhikari ko kisi bhi prakar se chhut ka pravdhan nahi hona chahiye. Sathiyo jo sathi apne speech , wrtten agenda,appeal ,banar v poster per chunav purv in vinduo ko sthan openly deta hai plz rajya, aam nagrikon, v rajya k aam karmikon ke hit me aise honest or kartavyon ke prati samrpit logon ko agami sabhi vibhagon ke shangathan k chunaon me age layen. Or mera vises nivedan rajya k sabse adhik karmikon wale shiksha vibhag ke sathiyo or behnon se hai ki aap agami prant or mandal ke chunav me isko rajya hit me jaroor yad rakhen.aapka ek faisla rajya ko kai kadam age le ja sakta hai. ****JAI HIND JAI MA BHARATI****
Posted on: Fri, 02 Jan 2015 16:59:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015