SHANE NAZUL SUREH FATEH. Jab macca moazma se ALLAH TAALA ke - TopicsExpress



          

SHANE NAZUL SUREH FATEH. Jab macca moazma se ALLAH TAALA ke hukum se app nabi kareem ﷺ madina munawora hijrat kar gaye aur hijrat ke 6 saal baad ka yeh pura waqia hai.aap us waqt madina munawora main rehte they اِنا فتحنالک hudaibiya se wapis hote huwe huwe (huzur ﷺ per nazil howe huzur ﷺ ko is se bohat khushi hasil howe aur sahaba ne huzur ﷺ ko mubarak di (Bukhari w muslim) HUDAIBIYA Ek kunwa hai macca mukarima ke nazdik mukhtasar waqia yeh hai ki sayyade aalam ﷺ ne khwab dekha ki huzur apne sahaba ke sath aman ke sath macca main dakhil huwe koi halak kiye howe koi kasar kiye huwe aur kaba moazma main dakhil huwe kaaba ki chabi li tawaaf kiya umrah kiya ashab ko khush khabri di sab khush hogaye huzur ﷺ ne umrah ka irada farmaya aur 1400 ashab ke sath pehli zil kad hizri 6 ko rawana hogaye. Zolhlifa main pohanch kar waha masjid main do rakateen namaz pad kar umrah ka ahraam bandha aur huzur e akram sallallah alehe wasalam ke sath aksar ashab ne bhi. baaz ashab ne hujfa se ahram bandha.raste main paani khatam hogaya.ashab ne arz kiya ki paani lashker main bilkool baaqi nahi hai.siwa huzur ﷺ ke aaftaba( jis main pani rakhte hai) ke us main thoda sa hai.huzur ne aftaba se daste mubaraka (hath) dala tu ungliyo mibarak se chasme josh marne lage.tamam lashker ne pani piya wazu kiye. jab mukaam usfaan main pohnche tu khbar aayi ki kuffar quresh (macca ke kuffar) bade sazu saman ke sath jung ke liye tayar hai. Jab hudaibiya per pohanche tu us ka paani khatam hogaya.ek katra na raha.garmi shakt thi huzur ﷺ ne kunwe main kulli farmayi us ki barkat se kunwa pani se bhar gaya sab ne piya apne unto (camle) ko pilaya yaha.yaha per kuffar quresh ki taraf se haal malom karne ke liye kai shaks bheje gaye.sab ne jakar yehi bayan kiya ki huzur ﷺ umrah ke liye tashrif laye hai jung ka koi irada nahi hai.lekin unhe yaqeen nahi aaya.aakhir kar unho ne urwa bin masood saqfi jo taaef ke bade sardar they aur arab ke nihayat bharose mand shaks they unhe tehqeeq ke liye bheja unhone aakar dekha ki sahaba e karaam huzur ﷺ jab apne hath dhote tu sahaba tabaruk ke liye us gusala sharif hasil karne ke liye tot padte.agar kabhi thokte hai tu log us ko hasil karne ke liye koshish karte aur jis ko hasil ho jata woh apne cehro aur badan per barkat ke liye mal deta.huzur ﷺ ka koi baal akdus girne nahi pata agar koi juda hota tu sahaba e karam adab ke sath lete aur jaan se zayada aziz rakhte.jab huzur ﷺ kalam farmate tu sab khamosh ho jate.huzur ﷺ ke adab w taazim se koi shaks nazar uper utha nahi sakta.urwa ne jab yeh sab haal quresh (kuffar e macca) se bayan kiya aur kaha ki main badsaho faras room aur misr (egypt) ke darbaro main gaya ho main ne kisi badsha ki yeh azmat nahi dekhi jo mohammad ﷺ ki un ke sathi sahaba e karam main dekhi hai.mujhe andesha hai ki tum (kuffar e macca) un se mukable main kamyaab na ho paoge. Quresh ( kuffar e macca) ne kaha ki aise baat mat kaho.hum is saal unhe wapis kar denge woh agle saal aaye. Urwa yani taeef ka sardar ne kaha mujhe andesha hai ki tumhe koi museebat pohanche yeh keh kar ki woh apne sathiyo ke hamrah taaef wapis chale gaye.aur is waqia ke baad ALLAH TAALA ne unhe musharaf ba islam kiya.yahi huzur ﷺ ne apne ashab se bait li us bait ko bait e rizwan kehte hai bait ki khabar se kuffar khoof zada huwe un ko rai suggestions dene walo ne yehi munasib samjha ki suleh karle.suleh nama likha gaya aur ayenda saal huzur ﷺ ka tashrif lana qarar paya aur yeh suleh musalmano ke haq main bohat hi mufeed sabit huwi balki result ke aitabar se fateh sabit howi.aksar mufaseeren fateh se suleh hudaibiya muraad lete hai.(tafseer khazin ruhul bayan) .... .... https://facebook/mehfil.gulam.mustafa
Posted on: Fri, 19 Jul 2013 02:07:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015