Salam to All :: ::::::::::::::::: TAQLEED - TopicsExpress



          

Salam to All :: ::::::::::::::::: TAQLEED ::::::::::::::::::: Wahbiyo kay NAzdeek Taqleed ki taarif kya hai............ 1) Zakir Naik: (A) Jo insaan ki baat maankar aur us per amal kare hatta kay woh baat Quran o Hadees se takra jaaye use Taqleed kehte hai. (B) Quran o Hadees se hawala milne kay bawajud agar koi Quran o Hadees ko Nai manta aur us shaks ko manta hai toh use Taqleed kehte hai. Is video per Zakir naik ki Definition khud gaur se sune. https://youtube/watch?v=leuNHQR7POI Zakir Naik kay mutabik kya 4 Imam Quran O Hadees se hatkar koi faisla dete the ya apne Qayas se faisla dete the???? 2) Maulvi Talib ur rehman: NABI Sallallahualaihiwasallam ki Hadees ko taweel karo or kehdo sahi hadees mansukh, Imam kay Qaul ko Bada karo or Hadees ko piche kardo.Yeh Taqleed hai. Is video per Dekhe Maulvi Talib ur rehman ne kya kaha https://youtube/watch?v=G-kTvdWyOOM Yeh hai Wahbiyo ki ilmi salahiyat kay jise Taqleed ka sahi maana hi nahi pata woh kehte hai Taqleed Haram hai,Shirk hai,Biddat hai.Aur kamal toh yeh hai ki inhe pata hi nahi ki Taqleed kya hai,kisi kay nazdeek Shirk toh kisi kay Biddat toh Kisi kay Haram.Yeh Khud apne aap me confused hai. aur Motabar Aimma kay NAzdeek Taqleed ka maana sune.. Taqleed ka Lafzi maana hai : Qulaada. Taqleed ka istilahi maana kya hai : 1) Imam Ghazali apni kitaab Al-Mustasfa jild 2 Page 387 per likhte hai “Taqleed yani bina kisi kay Qaul ko bina hujjat bina Dalil maanlena” 2) Allama shareef jirjani ne At-Taarifat page 97 per likhte hai “Taqleed Yani Hujjat o Dalil kay bagair bina kisi dalil kay baat maanlena” 3) Taqleed woh jo Mujhtahid ki baat maanle bina kisi Dalil kay [Tazeeb, by Imam-Nawai and Irshaad-ul-Fahool by Qadhi Shawkani].
Posted on: Fri, 16 Aug 2013 10:32:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015