∗ Shab-e-Barat …. . •» Shabaan Ki Pandharween (15th) Raat - TopicsExpress



          

∗ Shab-e-Barat …. . •» Shabaan Ki Pandharween (15th) Raat Ka Naam Aam Istilah Me Shab-e-Barat Hai, Iss Raat Ki Fazilat Quraan Paak Ki (Surah-e-Dukhan Aayat 1-4) Se Sabit Hai. . •» Allah Ne Qasam Yaad Farma Kar Iss Raat Ko “Lailatul Mubaraka” Kaha. . •» Allama Aalusi : “Hazrat-E-Akrama Aur 1 Jamaat-E-SahabaIssTaraf Hai Ke Iss Se Muraad Shaban Ki Nisf Raat (Yani Pandharween Raat Jisey Shab-E- Barat Kaha Jaata Hai) Hai”. -: (Tafseer-e-Roohul Mua’ani) . •» Abu Saud : “Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar’at (Nisf Shaban) Bhi Hai”. -: (Tafseer-e-Abi Saood) . •» Allama Imam Raazi : “Hazrat Akrama Aur Dusre Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Baraat Hai Jo Shaban Ki 15th Hai”. -: (Tafseer-e-Kabir) . •» Allama Sawi : “Lailatul Mubaraka Se Murad Shaban Ki 15th Hai. Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusre Sahaba Ka Hai”. . •» Iss Raat Ke 4 Naam Hai. (1).Mubaraka, (2).Rehma, (3).Barat, (4).Sak. Aur Iss Raat Ibadat Karna Afzal Hai (Saawi) . •» Hazrat Ali (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Marwi Hai Ke, Huzoor Nabi- E-Karim (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Jab Shaban Ki Nisf Raat Aaye Toh Tum Raat Ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho. Beshak Guroob-E-Aftab Se Subah Sadiq Tak Allah Paak Ki Rehmat Ka Nuzool Aasman-E-DuniyaPar Hota Hai. . Rabb Ta’ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hai, Khabardar!! Hai Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Kare, Mai Usse BakhshDun. Khabardar!! Hai Koi Rizq Ka Taalib Ke Usey Rizq Astaa Karun. . Khabardar !! Hai Koi Musibat Zaada Ke Mai Usse Aafiyet Aataa Karun. . Khabardar Koi Iss Tarah Hai ? Khabardar Koi Iss Tarah Hai ?” - : (Ibn-E-Maja -Bab Ma Jaa’a Fi LailatinNisf Min Sha’ban P#99) . •» Hazrat Abu Moosa Ash’ari Se Marwi Hai Ke Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Beshak Allah Ki Rehmat Ka Shaban Ke Nisf Ki Raat Mei Zuhoor Hota Hai. . Allah Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Daeta Hai Siwaye Mushrik, Logon Se Bughz Rakhne Waale, Dushmani Karne Waale”. -: (Ibn-E-Maja) . •» Hazrat Ayesha (Radhi Allahu Ta’alaAnha) Se Marwi Hai Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Shaban Ki Nisf Raat Mei Saal Mei Paida Hone Aur Fout Hone Waalon, Baais-e-Rifat Neik Aamal Aur Rizq Ke Asbab Likh Diye Jaate Hai”. -: (Bahaqi, Mishkat Sharif) . •» Hazrat Urwa Se Marwi Hai Ke Hazrat Ayesha (Radhi Allahu Ta’ala Anha) Farmati Hai, “MaineEk Raat Rasool’Allah Ko Gum Paaya Toh Aapki Talaash Ke liye Nikli. Aap Baqee (Qabrastan) Mei Aasman Ki Taraf Sar Uthaye Hue They. Huzoor Ne Farmaya, Beshak ! Allah Paak Apni Rehmat-E- Kaamila Se Nisf Shaban Ki Raat (Shab-e-Barat) Aasman-E-DuniyaPar Nuzool Farmata Hai. Banu Kalb Ki Bakriyon Ke Baalon Se Ziyada Magfirat Farmata Hai”. -: (Tirmizi Sharif) . •» Huzur Ne Farmaya, “15th Shaban Ko Allah Paak (Ki Rehmat)Aasman-E- Duniya Ki Taraf Nuzool Farmata Hai. . Iss Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hai, Siwaye Mushrik Wa Keena Parwar Ke”. -: (Baihaqi) . •» Ata Bin Yasar Se Marwi;“Koi Raat Lailatul Qadar Ke Baad 15th Shaban Ki Shab Se Ziyada Fazilat Wali Nahi”. -: (Baihaqi) . •» Hazrat Kaab (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Marwi Hai Ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Allah Jibraeel Ko 15 Shaban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hai, Ke Wo Aarasta Hone Ka Hukum Pohncha De Aur Keh De Ke Allah Iss Raat Mei Aasman Ke Sitaron, Duniya Ke Din Raat, Darakht Ke Paatton, Paharon Ke Wazan Aur Rait Ke Zarron Ki Ginti Ke Barabar Bandon Ko Aazad Karega”. -: (Baihaqi) . •» Pandhrah (15th) Shaban Khuda Ki Taraf Se Hikmat Waale Har Kaam Ka Faisla Kiya Jaata Hai ZindeLikhe Jaate Aur Haji Qalamband Hote Hai Phir Iss Se Na Koi Barhta Hai Aur Na Kam Hota Hai”. -: (Ibn-E-Jarir, Ibn-E-Manzar, Ibn-E- AbiHatim)
Posted on: Sat, 22 Jun 2013 17:18:29 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015