Suraj Ka Palat Aana …. ∗ Suraj Ka Palat Aana …. ♥ - TopicsExpress



          

Suraj Ka Palat Aana …. ∗ Suraj Ka Palat Aana …. ♥ Mojza-e-Rasool : Suraj Palat Aana ♥ » Hiqayat : Hazrat Biwi Asma Binte Umais (Raziyallahu Ta’ala Anha) Ka Bayan Hai Ki “Khaibar” Ke Kareeb “Manjile Sahba” Me Huzur (Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam) Namaze Asar Padh Kar, Hazrate Ali (Raziyallahu Ta’ala Anhu) Ki God Me Apna Sar-e-Aqdas Rakh So Gaye, Aur Aap Par Wahi(Quraan Sharif Ki Ayat) Nazil Hone Lagi. Hazrat Ali (Raziyallahu Ta’ala Anhu) Sar-e-Aqdas Ko Apni Aagosh Me Liye Bethe Rahe. Yahan Tak Ki Suraj Gurub(Dhal) Ho Gaya Aur Aapki Namaze Asar Qaza Ho Gayi. Jab Wahi Khatm Huyi Aur Aapne Apna Sar-E-Aqdas Uthaya Aur Aapko Yah Maloom Hua Ki, Hazrate Ali (Raziyallahu Ta’ala Anhu) Ki Namaz Qaza Ho Gayi Toh Aapne Dua Farmaee Ki, “Ya Allah ! Yakinan Ali Teri Aur Tere Rasool Ki Eeta’at Me The, Lihaza Tu Suraj Ko Wapas Lauta De, Taki Ali Namaz-e-Asar Ada Kar Le”. Hazrate Biwi Asma Binte Umais Kehti Hai Ki, “Maine Apni Aankho Se Dekha Ki Duba Hua Suraj Palat Aaya, Aur Pahado Ki Chotiyo Par Aur Zamin Ke Uper Har Taraf Dhoop Fail Gayi. Refrence : >Zurkani Part-5 Page-113, >Shifa Shareef Part-1 Page-185, >Madarijunnubuvvah Part-2 Page-257, >Sirate Mustafa Part-20 Page-545
Posted on: Sat, 31 Aug 2013 09:07:19 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015