The Imperfect Mismatch CHAPTER-5 [ SHARMA NIWAS ] Indira - TopicsExpress



          

The Imperfect Mismatch CHAPTER-5 [ SHARMA NIWAS ] Indira returned home fuming with anger accompanied by Sarah.She didn’t leave Indira alone because she didn’t trust Indira,especially her anger.While Indira was coming inside,all became tensed on seeing her attitude.Sarah blinked her eyes and assured them that everything is fine and under control.When she reached her bedroom,Indira threw the bag on the bed and started walking restlessly in her room and cursing Rishi.She said,”Samajhta kya hai vo apne aap ko?Kahika raja maharaja hai kya?Kameena!Ek larki se baat tak karne ki tameez bhi nehi hai usko.”She came towards Sarah and said,”Tuney dekha na kis tarah se lar raha tha vo mere saath?Mera to dil kar raha tha ke uska sar tod du main.Agar zindagi mein dubaara kabhi vo mere saamne bhi aaya na by God,mere haatho se zarur kuch na kuch galat ho hi jaayega,main bata rahi hu tujhe.”Sarah was all the time sitting on the bed and looking at the activities of Indira.When she was talking,Sarah didn’t utter a single word thinking it might make her more hyper,so she decided to wait until and unless Indira cooled down.She now got up and grabbed Indira’s hand and asked her to sit beside her.Indira sat down.Sarah said,”Tu kyu itna hyper ho rahi hai Indira?Chor na.Jo ho gaya vo ho gaya.Just chill.”Indira slammed on her,”Kya jo ho gaya so ho gaya,ha?Usne sabke saamne meri itni insult ki aur tu keh rahi hai ke main chill karu.Are you out of your mind?”Sarah said,”To tune kaunsa usko chor diya tha,tuney bhi to jamkar uski beizzati ki hai na?To ab hisaab baraabar ho gaya.Isiliye keh rahi hu bhul ja.”Indira got up from her bed and said,”Main nehi bhul sakti us jangli saand ko,us bina puch waale bandar ko.”Sarah got fed up and said,”Bas kar na abhi Indira.Chal na kya kya laaye hai vo sab dekhte hai,ya phir agar tujhe uski buraai hi karni hai to tu karti reh main chalti hu.”Indira stopped her,”Arey nehi tu mat ja.Thik hai ab main uske baare mein koi baat nehi karungi.I promise.”Sarah smiled. They sat on the bed and unpacked the bags of shopping.As soon as the things were falling from the bag,their eyes started getting wider and wider.On seeing the things,both of their minds totally stopped working.They didn’t know how to react.Both of their expressions changed.The reason was nothing but just so simple and it was that instead of the imported cosmetics and dress which Indira purchased,imported jeans,t-shirts,wrist-watches came out of the bag.Indira and Sarah remained open mouthed for a few seconds as if they were seeing any dream.It took a few seconds for them to digest the scene which unfolded in front of them.At last both of them shouted together,”Yeh kya hai?????”Indira picked up the dresses and asked,”Ye kiska samaan hai?Mere samaan kidhar hai?”Sarah was confused too.She said,”Maine to isi samaan ka bill banvaaya tha.”Indira remembered that when she was busy fighting with Rishi,it was Sarah who made the bill and collected the items.She,with a scared expression asked,”Kahi kisika samaan hamaare samaan ke saath badal to nehi gaya?”At that moment Sarah remembered that Sanjay too was paying the bills of Rishi’s items.She grabbed Indira’s hand and exclaimed,”Arey Indira yaad aaya,arey vo jo Rishi ka dost tha na vo bhi mere saath mein hi samaan ka bill banwaa raha tha humne almost ek hi saath pay kiya tha.Kahi tera samaan us Rishi ke saath to……”Indira,on hearing this pulled her hairs and made a crying face and said,”Oh God!Hamesha mere saath hi aisa kyu hota hai?Hamesha,harbaar vo bandar hi mujhse takra kyu jaata hai?Ab mujhe phir se uska muh dekhna parega.”Sarah said,”Kya zarurat hai?Tu phir se jaakar kharid lena.”Indira grinned,”Paise to per par ugte hai na?Purey 10000 rupyo ka samaan tha.Pata hai 10000 mein kitne 0’s hote hai?Mere mehnat ki kamaai thi.Mere savings mein se nikaala tha maine.”She tightened her jaws and said,”Koi baat nehi,main to apna samaan usse waapas lekar hi rahungi,jaha itne din saamna ho hi chuka hai waha ek din aur hi sahi.”Sarah took a deep breath and tried to imagine the scene when they’ll meet again and muttered,”Ek baar aur milna matlab phir se ek aur WORLD WAR.Bhagwaan bachaaye in dono se.”She then looked at Indira and then nodded her head. [ DIWAN HOUSE ] The scene in the DH was also pretty similar like that of SN.Rishi,too,as soon as entered in DH,started cursing Indira.Sanjay tried to cool him down and then both decided to check the items what they brought.As soon as they unpacked the bags,they were not surprised actually shocked to find some imported cosmetics and a dress.Rishi picked up the cosmetics and asked,”Abey ye kya utha laya hai tu?”Sanjay confusingly replied,”Mujhe bhi nehi pata ye saare larkio waale samaan main kaise utha laaya?Zarur kahi koi adla badli hui hai.”Rishi grabbed sanjay’s collar and asked,”Adla badli hui hai ka kya matlab hai?Ab kya main ye saare lipsticks lagaaunga,ye ye larkio waale kapre pehnunga?”He threw the dress and the lipstick on Sanjay’s face.Sanjay asked,”Meri kya galti hai?Tu mujhpe bharak kyu raha hai?Ab jo hua vo jaanbujhkar thore hi kiya hai maine?”Rishi asked,”To phir bill banvaane kyu gaya tha tu?”Sanjay taunted,”To aur kya karta?Tu to us khubsurat larki ke saath full on fight karne mein busy tha aur mere dimaag mein tab bas ek hi baat ghum rahi thi ke kaise tujhe waapas ghar lekar jaau aur tera jo vo samaan tha,bina payment ke to vo log usey mujhe lekar jaane nehi dete,isiliye mujhe jaakar payment karna para.Abhi mere paise nikaal.”Rishi sarcastically said,”Kis cheez ke paise lipstick aur nail-polish ke?Tu vaise kya keh raha tha ke vo Indira khubsurat hai?Abey kis angle se vo tujhe khubsurat lagti hai?Puri ki puri churail hai vo.”Sanjay said,”Dekh tu chahe jitna bhi usse chir le par vo larki sach mein hai to bohot khubsurat aur gusse ke saath to aur bhi achchi lagti hai.Ab tujhe to main bohot achchi tarah se jaanta hu,tu larkia pataane ka ek bhi mauka nehi chorta chahe vo raasta kitna bhi tedha medha kyu na ho.Kya pata shaayad ye jhagra karna bhi tera koi tareeka ho Indira ko pataane ka.”Rishi asked,”Really?????To ek kaam kyu nehi karta agar vo tujhe itni hi pasand hai to tu khud jaakar pataa kyu nehi leta usey?”Sanjay bit his tongue and said,”Tauba tauba,aisa to sochna bhi mere liye paap hai.Main to tere liye keh raha tha.”Rishi confusingly asked,”Kya matlab?”Sanjay replied,”Tu hi soch ke tu jab bhi is larki se milaa hai,hamesha tum dono larte jhagarte rehte ho aur kehte hai ke jo rishta laraai jhagre se shuru hoti hai,vo rishta aakhir mein pyar mein badal jaata hai aur aisa rishta kabhi tore se bhi nehi toothti hai.”Rishi closed his eyes and then said,”Tu ja yahase Sanjay,isse pehle ke mera dimaag aur kharaab ho,tu nikal ja mere ghar se aur ye le tere paise.”Rishi gave him his money and Sanjay asked,”Tu mujhe is tarah se bhaga kyu raha hai?”Rishi replied,”Kyuki tu paagal ho gaya hai aur mera ghar koi paagalkhaana nehi hai,isilye keh raha hu tu ghar ja jaake araam kar aur agar iske baad bhi tera dimaag thik na ho to kisi achche se doctor se apna ilaaj karwa lena.Ek ittefaaq ko tu pata nehi kya kya rang de raha hai.Now just get lost.”Sanjay kept on saying,”Tu jo bhi kehle Rishi,ek baar milna ittefaaq ho sakta hai,yu baar baar milna nehi.”Rishi didn’t reply him back and just kicked him out of his house. [ FEW DAYS LATER ] The whole DF was having their breakfast.At that moment,the oldest servant of the house came and informed,”Rishi bhaiya,aapse ek larki milne aayi hai.”Rishi was confused,”Itne subhe subhe mujhse koi larki milne aayi hai?”He asked the servant,”Kaun hai vo kaka?Shalini??????”The servent replied,”Pata nehi bhaiya pehle kabhi nehi dekha usko.”Rishi asked himself,”Aisa kaun ho sakta hai?”Sameer suspiciously asked,”Aisi kaunsi larki hai jo tujhe tere ghar pe milne aa gayi?Kyu be kahi tune koi kaand vaand to nehi kiya?”Rishi gave an angry look to him.Payal glared at Sameer.She grinned,”Aap Rishi ko lekar jab bhi muh kholte ho bas ulta hi bolte ho.Kabhi to mere bachche ke baare mein thora achcha bol diya karo aur kaka aap….”She looked at the servant and said,”Itne der se us larki ko bahaar khara karke rakkha hua hai,usko andar leke aaiye.”The servant went away.Sameer said,”To main karu kya Payal,mujhe aur chahe kisipe bharosa ho na ho,tumhaare devar pe to nehi hai.”Rishi looked at Payal making a baby face.She said,”Tu dhyaan mat de Rishi,tu khaana kha.Jinko aur koi kaam nehi hota vo log aise hi baate karte hai.”Rishi,on hearing this returned a mocking smile to Sameer. The servant brought the girl inside and said,”Ye lijiye Payal bitiya,le aaya unhe.”The girl was standing behind Rishi.As Sameer was sitting,facing Rishi,he could clearly see the girl.On seeing her,Sameer remained opened mouth.Rishi,putting the piece of food inside his mouth looked at Sameer.He got very confused on seeing Sameer’s face,so he slowly turned around.On seeing her,Sameer’s expressions just changed,but Rishi,he jumped up from his chair.His expressions slowly changed from surprise to anger.He grinned and shouted,”Tum??????Tum mere ghar mein kya kar rahi ho???Usdin tumhaara jee nehi bhara jo tum yaha bhi aa gayi,mujhse jhagra karne?”The girl was none other than Indira.Indira raised her hand on his face and said,”Jhagra karna to dur ki baat,mujhe tumhaari ye sari hui shakal dekhne ka bhi koi interest nehi hai aur naahi itna faltu time hai mere paas.”Rishi asked,”To yaha kya lene aayi ho?”She said,”Mera saamaan jo galti se tumhaare saamaan ke saath exchange ho gaya hai.”Rishi remembered and said,”Oho!To vo saare cosmetics aur vo kapre tumhaare the?By the way tumhe mere ghar ka address kaha se mila?”He suddenly made a sarcastic smile and said,”O to ab main samjha,ye sab kuch bhi galti se nehi hua hai,tumne jaanbujhkar apne aur mere saamaan ki adla badli ki hai taaki tum mere ghar tak aa sako,main tum jaisi larkio ko achchi tarah se jaanta hu,jaha amir khaandaan dekha nehi vahi tapak parti ho besharmo ki tarah.”Indira’s temper was increasing the each and every time,Rishi was moving his lips.The last sentence she couldn’t tolerate.It was the last stroke which completely broke the wall of her patience.She shouted too on his face,”What the hell you think of yourself?Samajhte kya ho khudko?Tumhe kya lagta hai ke har larki is dunia mein sirf tumse line maarne ke liye hi aayi hi?For your very kind information,let me correct you Mr Rishi Diwan,ye kaam is dunia ka sabse ghatiya aur faltu kaam hai aur lagta hai tumhaara paala aajtak apne type ki larkio se para hai,jo tumhaare aagey peeche doom hilaati firti hai,mere jaisi larki se nehi,aur rahi baat tumhaare ghar ke address ki to main Diwan Builders ke office gayi thi,waha se mila hai.”Rishi folded her arms,”Now what the hell you meant by mere type ki larkia?”Indira put her hands on her waist and replied,”Badtameez,bewaakoof aur jinke paas dhele bhar ka dimaag nehi hota.Tum to is category se ek aur degree upar ho kyuki tumhe to ghar aaye mehmaan se tameez se baat karna bhi nehi aata.”Rishi laughed,”Tameez aur tumse????Best joke of the day.Jo khud sar se lekar per tak badtameezo ki khaala hai,jisey dekh kar achche achche badtameez bhi sharma jaaye,vo tameez ki baat kar rahi hai?Strange,very strange.”Rishi and Indira were so busy in fighting that they even didn’t remember that they were fighting in front of Rishi’s family members.All were sitting like statue and staring at each other after every few minutes.Simi asked,”Hai kaun ye larki jo itne der se Rishi ke saath lare ja rahi hai?”Payal was very angry on Indira.She said,”Bari badtameez larki hai,Rishi ne thik hi kaha hai isme tameez naam ki cheez hi nehi hai.Kisike ghar aakar is tarah se larta hai kya koi?”She was about to go and stop their fighting,when Sameer grabbed her hand and pulled her behind.He whispered,”Kya kar rahi ho Payal?Paagal ho gayi ho kya?Dekh nehi rahi ho kitna achcha scene chal raha hai.Chupchap yaha bethi raho.”He then addressed Simi,”Ma aap bas chupchap bethke tamaasha dekhiye.”Shekhar asked,”But ye larki kaun hai,ye to kamsekam pata chale?”Sameer said,”Arey papa,sab bataunga,please just have patience.”Payal angrily said,”Dekhiye main apne ghar mein ye saara tamaasha nehi hone dungi.Main chalti hu…..”Sameer again forcefully made her sit and said,”Arey meri jaan,aisi picture roz roz dekhne ko thore hi milti hai?Tum usey badtameez keh rahi ho to tumhaara devar kaunsa usey sunaane mein kasar rakh raha hai aur vaise bhi agar abhi tum kuch kehne jaaogi to unke gusse ki aag se jalkar raakh ho jaaogi aur phir mera kya hoga?Kamsekam apne is pati pe taras khaake ruk jaao,unko kuch mat kaho.”Payal felt very offended and made a face but she didn’t go.Rishi and Indira were continuing their fight. Indira said,”Dekho mere paas tumse baat karne ka waqt nehi hai.Jaldi jaldi mera saamaan do,main yaha se chali jaaungi.”Rishi turned his face away from her and said,”Mere paas nehi hai.Maine phek diya hai.”Indira turned him towards her and asked,”Phek diya ka kya matlab hai?”He replied,”Phek diya ka matlab phek dena hota hai.”She restlessly asked,”Tum aise kaise kisika bhi samaan phek sakte ho?”He said,”To kya karta vo lipstick aur cosmetics main use karta kya?Vo dress bhi main pehenta kya?Vo samaan mere kisi kaam ka nehi hai so maine phek diya aur vaise bhi mujhe nehi pata tha ke tum usey lene yaha aaogi and by the way you know what,pehle main saara samaan phekna nehi chahta tha par ab lagta hai jo maine kiya bilkul thik kiya.”Indira out of anger,grabbed his collar and yelled,”Tumne mere mehnat ke paiso se kharida hua saara saamaan phek diya.Tumhe pata bhi hai kitne ka tha vo samaan,purey 10000 ka.Mujhe pata hai tumhaare jaise raheeszaado ke ke liye ye rakam koi maaine nehi rakhti hai par mere liye hai,par mujhe har paai ki keemat pata hai.Hum din raat mehnat karte hai tab jaake ye paise hamaare paas aate hai,har koi tumhaare jaise chandi ka chammach muh mein lekar nehi paida huye hai aur naahi tumhaare jaise apne baap-dada ka paisa hai jise jaise marzi uraa de.”Rishi asked,”Tabse mere ghar mein khare hoke jo muh mein aa raha hai bolti ja rahi ho.Kya jaanti kya ho tum mere baare mein?”Indira sarcastically smiled and said,”Nehi jaanti main kuch bhi sivaay ek baat ke,ke tumhe paiso ki keemat hi nehi pata hai agar pata hota to aisa kaam kabhi nehi karte.”Rishi said,”Zyaada dialogue jhaarne ki zarurat nehi hai,main abhi paise lekar aata hu aur tumhaare muh par maarta hu.”He turned to go but Indira stopped him and said,”Mujhe tumhaare paiso ki koi zarurat nehi hai Mr Rishi Diwan,par ha don’t worry,hisaab main baraabar karke rahungi.Just wait.”She left. Indira returned with a bag on her hand.She stood in front of Rishi.She opened her purse and took out 5000 rupees and put it on Rishi’s hand.She said,”Ye lo rakkho.”He confusingly asked,”Ye kisliye?”She smiled,”Ek minute ruko to sahi,itni bhi kya bechaini hai?”She asked one of the servants to fetch her a scissor.The servant brought it for her.She put out a bill paper from the bag and showed it to Rishi and said,”Tumhaare is bill ke mutaabik,ye ek hi shirt hai jo purey 15,000 rupiyo ka hai,jo ki….”She took out that particular shirt from the bag and said,”Jo ki ye hai.To ab mere saamaan ka bill tha 10,000 aur tumhaare is shirt ki keemat hai 15,000.Tumne mere samaan ko phek diya jiska matlab hai ke tumne mera 10,000 ka nuksaan karwaya hai,to ab iski bharpaai karti hu main…..”She put the bag aside,took up the scissor and tore the shirt into pieces.Everyone was hell shocked including Rishi.He was not at all in the condition to speak properly.Still he just spoke out,”Ye…..mera….sh-shirt,ye k-kya….?”Indira smiled and replied,”Maine hisaab baraabar kar diya hai.Abhi tum soch rahe hoge ke,tumhaara to 5,000 ka nuksaan zyaada ho gaya hai,to ye rahe vo 5,000 jo abhi maine tumhaare haatho mein thamaaye hai.”She pointed at the money in Rishi’s hand.After that Indira grinned,”Main tumhaari tarah nehi hu jo kisike peeth peeche kaam kare,isiliye maine tumhaara shirt tumhaare aakho ke saamne phaara hai.”She then raised her finger on his face and said,”Agli baar mujhse panga lene ki,zindagi mein bhi kabhi jurrat mat karna.”She then turned to leave,but before going,she looked at everyone and by lowering her eyes,joined her hands.She said,”Mujhe pata hai maine jo bhi kiya vo thik nehi tha,khaaskar mujhe kisi dusre ke ghar mein aake aisa tamaasha nehi karna chahiye tha.Par mere saamne koi is tarah se paiso ki beizzati kare vo mujhse bardaasht nehi hota.Phir bhi maine galti ki hai,isiliye Iam really very sorry.Ho sake to aap sab mujhe maaf kar dena.”Saying she left.Rishi was so so angry on Indira that he threw the money away,kicked the bag of his clothes and returned to his bedroom.Sameer just uttered,”Perfect!This is absolutely the right choice.” Sameer was the only person who was all the time smiling and enjoying.As soon as both Indira and Rishi left the scene,all the family Shekhar,Simi and Payal turned towards Sameer and looked in such a way as if demanding some sort of answer from him.Sameer looked at their faces and said,”Cool down,please pehle shaant ho jaiye sab log,bataata hu.”He took a deep breath and said,”Papa,ma,Payal aap sabko yaad hai ek mahine pehle ek larki ne hotel mein Rishi ki bohot beizzati ki thi aur jab usko uske boss ne Rishi ke saamne maafi maangne ko kaha to usne job hi chor di aur phir jab maine usey uski job waapas dilaani chahi to vo mujhe mere office mein aakar suna ke gayi.Yaad hai aap sabko?”They nodded their head and Payal asked,”To isse iska kya lena dena?”Sameer just smiled and with a meaningful look asked,”Abhi tak nehi samjhi Payal?”Shekhar said,”Don’t say ke ye vohi larki hai.”Sameer nodded his head.Simi exclaimed,”Ye Vo larki….Kya naam tha uska…..?”Sameer replied,”Indira Sharma.Yehi vo larki hai jisne har kadam pe hamaare Rishi ko uski aukaad yaad dilaayi hai aur vo bhi usike style mein.”Payal asked,”Thik hai par aaj usey ye tamasha karne ki kya zarurat thi?”Sameer replied,”Payal,tumhaara Rishi koi dudh ka dhula nehi hai,usne bhi to ek ghar aaye mehmaan ki beizzati ki hai.Indira ko dekho,vo itni zimmedaar hai ke vo khud chalkar aayi apna saamaan lekar Rishi ka saamaan waapas dene.Vo bhi to vo saara saamaan phek sakti thi par nehi usne aisa nehi kiya aur dekho usey is baat ka ehsaas bhi hai ke usne galti ki hai isiliye vo hum sabse maafi bhi maang kar gayi hai.Tumhe kya lagta hai agar Rishi aaj uske jagah par hota to aisa karta?Kabhi nehi.Yehi fark hai tumhaare devar aur us larki mein.”Shekhar said,”Vaakayi mein pehle mujhe uspar gussa to aaya tha,par jab usne paiso ki ehmiyat waali baat Rishi ko bataayi,mujhe bohot achcha laga ye sochkar ke aajkal ke bachcho mein bhi itni samajh hai.Har koi hamaare Rishi jaisa nehi hota.”Simi said,”Ha mujhe bhi vo baat bohot achchi lagi.Kaash mera Rishi bhi iske jaisa soch paata.”Payal tried to change the topic as she was not liking that everyone is saying against Rishi and so she said,”Sameer jaldi tayyar ho jaaiye aapko office bhi to jaana hai.Main abhi aapka lunch ready karvaati hu.”Sameer agreed and returned to his room. After half an hour,Sameer got fully ready and before going to office,he collected his lunch.He drove his car out of the gate and staopped at a few distance away.He picked up his mobile and send an MMS.He then called someone and said,”Abhi abhi jo MMS bheja hai na tumhe mujhe uske bare mein detailed information chahiye.Har choti se choti baat main jaanna chahta hu aur mujhe ye sab kuch jald se jald chahiye.Jitni jaldi khabar milegi,keemat bhi utni hi baregi.”He cut the call and said,”Main is baar tera permanent ilaaj karke chorunga,mere bhai.Just wait and watch.”He started his car and drove towards his office.
Posted on: Sat, 21 Sep 2013 14:37:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015