*******{ Tum Mujhe Yaad Karo Mai Tumhe Yaad Karta Hun - TopicsExpress



          

*******{ Tum Mujhe Yaad Karo Mai Tumhe Yaad Karta Hun }******* Allah k Naik bando ki shan ye hoti hai k har waqt wo Allah ki yaad me Zindagi basar karte hai, Subah-o-Sham din aur Raat usi ka Zikr karte rehte hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Har waqt Allah Talaka zikr karte the.(Muslim) Zikr k zariye banda Allah tala se Juda huwa Rehta hai Aur bande ka Alla Tala seJuda hua Rehna hi us ki Zindagi hai, us k Bagair mout hai, Zakir ki misal Zinda ki si hai aur Gafil ki misal Murde ki si hai. Jub tak Aadmi Allah k zikr me hota hai Shaitanus per Galib aanahi sakta, goya Zikr aik qile ki tarah hai jis k Zariye AadmiShaitan k Makro Faraib se Mahfooz Rehtahai, Allah Tala ko jo yaad karta hai us k liye is se badh ker kya sila hoga k Allah Tala us ko yaad Karte hai, "فَازکُرُونِی اَذکُرکُم" (Fazkuruni Az’kurkum) Tum mujhe yaad karo mai tumhe yaad karta hun. (Surah:Al-Baqarah,Surah No:2, Aayat No:152) Aap S.A.W ne Frmaya: Do Kalme Aise Hai k Zuban se Inka Khna Nihayat Aasan Hai, Lekin Meezane Aml Me Inka Wzn Bahot Bhari Hoga.(Bukhari) {Subhanallahi wa Bihamdihi Subhanallahil Azeem}Tarjuma:Pak Hai Allah Smait uski Tarif K, Pak HaiAllah Azmat Wala. Bahre haal Din Raat, Subah,Sham uthte, baith te, chalte, phirte, aur khate, pite Allah ka Zikr karna bhi Sunnat hai. Jaha hum Apni Zuban se Allah Tala ka Zikrkaren wahi hum apne dilo dimag se AllahTala ki Naimaton k bare me Gour-o-Fikr karte rahe, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Jaha Zikr Farmate the wahi gour fikr bhi Farmaya karte the Allah Talaki un Naimaton kaEhsas-o-Shaoor bhi hamare Zahno me Rehna Chahiye jo humper har lamha ho rahe hai. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya,Tum Allah Tala ki Naimaton k bare me Gour-o-Fikr karo aur Allah k bare me Gour-o-Fikr mat karo. (Tabarani,baihaqi) Quran Majid me Hai: (فَاذکُرُوآلآاللہِ لَعَلَّکُم تُفلِحُونَ) (Fazkuru Aala Allahi la’allakum tuflihoon)Tum Allah Tala ki Naimaton ko yaad karo ta k tum kamiyab ho jao. (surah:Al-A’raf, Surah No:7, Aayat No:69)
Posted on: Sun, 23 Jun 2013 11:25:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015