Ya Hussain a.s Ya Hussain a.s (Rasil Hussain a.s Dil-e-Jahan) - TopicsExpress



          

Ya Hussain a.s Ya Hussain a.s (Rasil Hussain a.s Dil-e-Jahan) x8 Salam Bar Muharam Salam Bar Karbala Salam Bar Aashura Salam Bar (Hussain a.s) x30 Assalamo Alal Hussain a.s Wa Ali a.s Ibnil Hussain a.s Wa Auladil Hussain a.s Wa Ashaabil Hussain a.s Asalamo Alal Shaibil Khazeeb Asalamo Alal Khadit Tareeb Asalamo Alal Badan-e-Saleeb Asalamo Alal Taghril Maqro-e-Bil Qazeeb Asalamo Alal Rasil Marfoo (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x5 Haan (Aey Naiza Sawaaron Ki Qayadat Ke Shehanshaah) x2 Zulfain Teri Wal Lail Hain WaShams Hai Chehra Aankhon Se Ayaan Noor-e-Muhammad s.a.w.w Ka Ujala Lab Terey Hain Masroof-e-Tilawat Bin-e-Zahra s.a Sajday Main Jhuka Sar To Ibadat Ka Sharaf Tha Naizey Pe Uthha Sar To Ye Sar Dur-e-Najjaf Tha (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Thi Pusht-e-Muhammad s.a.w.w To Issi Sar Ka Mussalla Aur Chaader-e-Tatheer Hai Iss Sar Ka Ammama Man Kunto Ka Khutba Hai Issi Sar Ka Khulaasa Iss Sar Ke Sabab Karbobala Ab Hai Mualla Ye Sar Na Jhuka Khanjar O Talwaar Ke Aagey Sar Zulm Ka Kham Hai Terey Inkaar Ke Aagey (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Rooh-e-Hussain a.s Jabeen-e-Hussain a.s Abru-e-Hussain a.s Chashm-e-Hussain a.s Rukhsaar-e-Hussain a.s Dahan-e-Hussain a.s Lab-e-Hussain a.s Dandaan-e-Hussain a.s Rukhsar-e-Hussain a.s Reesh-e-Hussain a.s Gulu-e-Hussain a.s Zulf-e-Hussain a.s Khushbu-e-Hussain a.s Zehn-e-Hussain a.s Fikr-e-Hussain a.s Guftaar-e-Hussain a.s Haan In Aankhon Ko Hai Ahmed-e-Mukhtar s.a.w.w Ne Chooma Zahra s.a O Ali a.s Ne Lab O Rukhsaar Ko Chooma Zulfon Ko Hassan a.s Ne Hai Barey Payaar Se Chooma Behno Ne Gala Isska Kaai Baar Hai Chooma Sardari-e-Abbas a.s Issi Sar Se Juri Hai Aur Zainab s.a O Kulsoom s.a Ko Ye Misl-e-Ali a.s Hai (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Mojood Tha Iss Sar Main Muhammad s.a.w.w Ka Khazana Maqsad Tha Issi Sar Ka To Islam Bachana Zalim Ne Bohat Chaaha Tha Iss Sar Ko Jhukaana Ye Sar Na Jhuka Kat Gaya Zahra s.a Ka Gharaana Iss Sar Ka Safar Sun Ke Jahaan Rota Hai Ab Tak Ghaibat Main Jo Hai Marsiya Khuwaan a.s Rota Hai Ab Tak Allah (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Aashur Ko Ye Sar Pas-e-Gardan Se Kata Tha Zarbain Thin Lagi Teerah Bohat Khushk Gala Tha Zainab s.a Ke Liye Waqt Qayamat Se Karra Tha Zulfon Ko Pakar Ker Jo Ye Sar Shimr l.a Chala Tha Afsos Sar-e-Nok-e-Sina Jab Ye Sar Aaya Jalta Hua Ghar Sham-e-Ghareebaan Ka Tha Sayaa (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Iss Sar Ke Masaayeb Ka Ye Pur Dard Hai Qissa Khooli l.a Ne Issey Ghar Main Jo Tandoor Main Rakha Raat Aai To Phir Zoja-e-Khooli Ne Ye Dekha Tandoor Sey Ek Noor Ka Darya Hai Ubaltaa Ik Bibi s.a Siyaah Posh Ney Iss Sar Ko Uthhayaa Ro Ro Ke Kaha Haaye Ghareeb-e-Bin-e-Zehra s.a (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Rahib Ne Ye Sar Dekha Tha Jab Nok-e-Sina Per Khooli l.a Se Kaha Kon Hai Ye Kisska Hai Sar Bola Wo Bad Atwaar Ke Ye Hai Bin-e-Haider a.s Rahib Ne Wo Sar Ley Lia Khooli l.a Ko Dia Sar Sar Goud Main Rakhey Huey Rota Raha Rahib Aawaz-e-Fughaan Zahra s.a Ki Sunta Raha Rahib (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Ye Sar Kabhi Sandooq Main Tandoor Main Rakha Iss Sar Ko Darakhton Pe Laeenon Ne Sajaaya Naizey Pe Issey Shehar Ki Galiyon Main Phiraaya Ham Raah Aseeron Ke Ye Sar Sham Jab Aaya Sajjad a.s Ko Zainab s.a Ko Rulaatey They Sitamgar Sar Baali Sakina s.a Ko Dekhaatey They Sitamgar Allah (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Darbar-e-Yazeedi l.a Main Bapa Jashan-e-Taraf Tha They Aik Taraf Ahl-e-Haram Muztar O Giryaa Aur Saamney Tha Takht Pe Marjaana l.a Ka Beyta l.a Uss Takht Taley Sar Tha Hussain-e-Bekhata a.s Ka Badmast Laeen Nashey Main Lalkaar Raha Tha Dandaan-e-Shah-e-Deen a.s Pe Chharri Maar Raha Tha (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Jiss Waqt Ye Sar Shaam Ke Zindaan Main Aaya Sar Bhai a.s Ka Zainab s.a Ne Kalejey Se Lagaya Sajjad a.s Ne Beyhosh Sakina s.a Ko Jagaya Sar Baba a.s Ka Pehlu Main Sakeena s.a Ne Jo Paaya Aey Sarwar O Rehan Qayamat Ka Samaa Tha Shabbir a.s Ka Sar Rota Tha Aur Shor O Fughaan Tha (Allah Allah Min Rasil Hussain a.s) x4 Asalamo Alal Hussain a.s Asalamo Alal Rasil Marfoo
Posted on: Fri, 22 Nov 2013 13:20:28 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015