Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo Bhale Cheen Lo Mujhse - TopicsExpress



          

Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tohfe Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani Kabhi Ret Ke Oonche Tilon Pe Jaana Gharonde Banana, Banaake Mitaana Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani woh khilana woh hansna woh gaana woh chatt pey phir chadhkey patangein udana woh lamba danda jo haathon mein merey urhti hui haseen patangein churana manjhey sey lipti patangein urhana mujhe yaad aati hain bachpan ki yaadein woh saathi sey ladhna ya ho jhagadna ek pal mein hi phir ussey lipatna na dil mein khalish thi,na koi aham tha sang phir uskey roti ka khana kahan ab woh din hain kahan hain woh raatein mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein aamon key perhon pey jhat pat charhna pairon ka merey woh mitti mein garhna rona hi khud par phir khud pey hi hansna Bargad key perhon ki chaoon mein sona na woh chaoon hain ab na hain na hain baharein mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein chooti baaton pe rota tha ji bhar nanhi si khushi sey hansta tha din bhar nanhi si khushi sey sub ghum bhol jaana woh lori ka ga kar behen ko sulana na khushiyan hain ab woh na hain woh ratein mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein aur ab........ na patango naata hai na maanjhey sey rishta na ambiya sey yaari na pedhon sey rishta na mitti hai woh ab na lori ki chahat na saathi sey mohobat na koi aahat na phoolon mein mehek hai na neendon ki raatein khushiyan nahin hain bus ghum hi ghum hain kaisi bataoon main jawani ki baatein. Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani......
Posted on: Wed, 31 Jul 2013 20:29:28 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015