Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi, Meri Tarha Kisi Se - TopicsExpress



          

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi, Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi. Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka, Rasta Badal K Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi. us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e- Guftagu, Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi. Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan, Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi. Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs, Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi. Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya, Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi. Mohsin Main Us Se Keh Na Saka Youn Bhi Haal-e-Dil, Darpeesh Aik Taza Musibat Usey Bhi Thi.
Posted on: Sun, 06 Oct 2013 05:13:51 +0000

Trending Topics



>
FERGUSON & Michael Brown,The community must take responsibility
> t" style="margin-left:0px; min-height:30px;"> Sitting here thinking about the fast the storm came in last night.
HELP ME TO PROTEST!! INEXCUSABLE!! RED ALERT! HUGE adoption event
O site Yahoo Movies divulgou com exclusividade o primeiro trailer

Recently Viewed Topics




© 2015