•((¯°·._.•BAD NIGAHI SE PARHEZ KARO•._.·°¯)) MUST - TopicsExpress



          

•((¯°·._.•BAD NIGAHI SE PARHEZ KARO•._.·°¯)) MUST READ Ek naujawan kisi Buzurg ki khidmat me hazir hua aur kehne laga k, Hazrat – aap farmate hain k Bad Nigahi se parhez karo, pr mai naujawan hu bazaar se guzarte hue meri nigah qaboo me nahi rehti., Kya Karu? Buzurg ne kaha – mai ye raaz smjhaunga magar shart ye hai k pehle mera ek kaam kardo.. Us ne kaha mai tayyar hu to farmaya k falan Buzurg bazaar me rehte hain, unko ye doodh (milk) ka piyala(bowl) pohcha kar aa jao.. Us ne kaha pohcha deta hu.. To Buzurg ne kaha ek aur baat bhi hai k doodh ko girne mat dena.. – unse kaha fikar na karen ek qatra bhi girne nahi dunga – To Buzurg ne kaha acha thik hai agar ek qatra bhi neeche girgaya to phir ek bande ko saath bhejunga k jaise hi koi qatra neeche gira to ye banda tumhe wahin pr ek thappad marega – unsae kaha manzoor hai.. To buzurg ne doodh ko piyale me laba lab bhara aur ek taqatwar insaan ko bhi us shakhs k saath kr diya – Ab voh shakhs badi ahtiyaat k saath se chalte hue bachte bachate hue bila akhir apni manzil pe pohch gaya aur phir khushi khushi wapas Buzurg k paas aya, aur kehne laga k Hazrat maine voh doodh ka piyala Buzurg tak pohcha diya.. ab aap mujhe nazar ki hifazat ka tariqa bataiye... Buzurg ne famraya k doodh to tum ne pohcha diya magar ye batao k aaj tum ne bazaar se guzarte hue kitne logon ko dekha? to kehne laga k IDHAR UDHAR DHYAAN HI NAHI THA. Kyun dhiyaan nahi tha? buzurg na sawaal kiya. Arz kiya – Hazrat – Dil me khauf tha k agar piyala chalak gya aur doodh ka ek qatra bhi neeche gir gaya to saath chalne wala mujhe bhare bazaar me joote lagayega aur meri ruswayi hogi.. To Buzurg ne farmaya k, ALLAH WALON KA BHI YEHI HAAL HOTA HAI – VOH SAMAJHTE HAIN K AGAR GUNAH K ZARIYE YEH DIL KA PIYALA CHALAK GAYA TO QAYAMAT K DIN SARE AAM RUSWAYI HOGI – IS LIYE UNKI NIGAH IDHAR UDHAR NAHI UTHTI..!! Ya ALLAH AZZAWAJAL!! Hume BAD-NIGAHI se bacha.. Aameen..!!
Posted on: Tue, 30 Jul 2013 17:36:40 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015