bah qadr-e-zarf hai saaqi khumaar-e-tishnah-kaami bhi jo tu - TopicsExpress



          

bah qadr-e-zarf hai saaqi khumaar-e-tishnah-kaami bhi jo tu daryaa-e mai hai to maiN Khamyaaza hooN saahil ka بہ قدرِ ظرف ہے ساقی خمارِ تشنہ کامی بھی جو تو دریاۓ مے ہے تو میں خمیازہ ہوں ساحل کا ब-क़द्र ए ज़र्फ़ है साक़ी ख़ुमार ए तिश्नह कामी भी जो तू दरिया ए मै है तो मैं ख़मियाज़ह साहिल का ba-qadr = according zarf = capacity khumaar = intoxication tishna-kaami = thirst [for wine] mai = wine khamyaaza = yawn (angRaai) O Saaqi, according to the capacity is the intoxication of thirst if you are the sea of wine, then I am the stretch of the shoreline. pyaas aur sharaab ki talab saaqi ke hausle ke munasib hi rehti hai agar saaqi darya hai to hum uss ke lab se lage hue saahil ke maanind hain Jis qadar darya mein josh ho, saahil us ko apne aap mein samoye rakhta hai Jab darya ka josh baRhta hai to saahil peeche ho jaata hai aur jab darya sookh jaata hai to saahil ishtiyaaq mein aur qareeb aa jaata hai, lekin kisi bhi haal mein darya ka saath nahin chhoRtaa. The shoreline will always follow the river. Even if the river dries up the shore still remains. When flooded the shore line recedes back but never gives up. Therefore, if you are like a sea of wine then I am that thirst that will always be in proportion to your generosity. **posted by Babar Imam**
Posted on: Tue, 05 Aug 2014 05:10:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015