hamare minister galat..... hamare idare galat... hamare nizam - TopicsExpress



          

hamare minister galat..... hamare idare galat... hamare nizam galat.... hamare nisab galat.... election ho tou fasad.... na ho tou masla.... koi kam kare tou hamain masla... na kare tou kam chor, rishwat khor, ka fatwa.... chez mile tou mehngi... na mile tou masla.... petrol hai tou mehnga Q hai...???? aur na mile tou 5 rupe mehnga black main leta hain khushi khushi.... aur ja kar pump wale ko aur apne azizon ko fakhar se batate hain jese kamal kia hai 5 rupe mehna le kar... barish ho tou masla... aur na ho tou shikwe shikayat...... har jagah masla har jagah shikayat...... asal masla hi yahi hai k hum apne ap ko nai badalte.... aur na badalna chahte hain srf dosroon par ungli utha sakte hain...... isi kam main expert hain hum...... agar tabdeli lani hai tou start apne ap se lain......pehla kadam khud utahana pare ga.... (( agar khush hal aur amani ki chahat hai tou tabdeli ki taraf khud chal kar jana pare ga......hum sirf batain karte rahain aur tabdeli khud chal kar hamare pas aye ye nai hoga...........kabhi nai))
Posted on: Sat, 03 Aug 2013 19:55:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015