is waqt uttrakahnd ki dardnak musibat mai sare desh ke log is - TopicsExpress



          

is waqt uttrakahnd ki dardnak musibat mai sare desh ke log is musibat ki ghadi mai salamati ki prarthna kar rahe hai, alag alag samudaye ke log apni taraf se help bhi kar rahe hai , lekin kaya apne kabhi socha hai ki jin mandiro mai hum apni appar shrdha rakhte hai or waha apni sharda anusar daan karte hai jaha ajj kai mandir appr smridhi ke malik hai unke trustiyo ne abhi tak ek bhi paise waha help ke liye dene ki peshkash nahi kari hai, in mandiro mai akhir wo appr dhan desh ke logo ki shardha bhakti ki wajah se mila hai, vaishno devi trust, sai baba shirdi trust, tirupati trust, ke alawa local sher ke mandir, jhandewalan, kalka ji mandir ,addi bhi bahoot dhanwan hai ye chae tou sari appda ka kharch kar sakte hai itna dhan hai inke pass, or na hi wo high class baba jo lakho logo ki bhid jutate hai kai kai kharbo croro ke malik hai jaise asharam bapu, nirankari baba, nirmal baba, swami ramdev,addi har saal kai crore janta se loot lete hai par help ke naam par kuch nahi, inse ache tou gurudwara prabandhak commety hai jinhone langar , gadiyo ki help bheji hui hai hum mandiro mai dhan kyo chadate hai kaya bhagwan humse dhan lete hai , hum bhagwan ke dar par mangte hai girgirate hai or use rishwat ki peshkash karte hai apne swarth ke liye , or iska fayeda ye dharam ke dhekedar uthate hai dhan ka daan bhi sahi jagah hona chaiye sahi jarurat mand ke kaam aye, desh mai shiksha, hospital,bhojan mil sake jarurat mand ko par kaya in mandiro mai dhan dene se iska upyog hota hai kahi bhi nahi
Posted on: Sun, 23 Jun 2013 09:54:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015