khabeeson se Quran sunna: Hazrat Asma ne bin Ubaida se Riwaayat - TopicsExpress



          

khabeeson se Quran sunna: Hazrat Asma ne bin Ubaida se Riwaayat ki ke do badmazhab IMAM Ibn Seereen ki khidmat me haazir hue arz ki Aye Abubakr aapse ek hadees bayaan karna chaahte hai farmaya NA, Arz ki koi Aayat Quran e majeed ki padhein.? Farmaya NA, Ya to tum uth jaao ya main chala jaunga. Aakhir wo dono nikal gaye. Kisi ne kaha aye Abubakr! Aapka kya nuksaan tha agar wo koi aayat Quran e majeed ki padh dete? Farmaya main daraa ke wo aayat padhkar uske maana me kuch tehreef karte aur mere Dil me jaga kar le. ALLAHU AKBAR! Waqt ke IMAM to is Qadr ehtiyaat karein aur aaj ka be-padha likha Sunni Musalmaan ye kahe ke sirf sunne me kya jaata hai jo accha laga wo le lenge aur jo bura hoga chhod denge. Kya hamari aqlein in akaabir aimma e kiraam se badhkar hain? Hargiz nahin. Lehaza apne IMAAN ki hifaazat karo aur Badmazhabon se hargiz NA salaam, NA kalaam, NA dosti, NA rishtedari karo. ALLAH hamare IMAAN ki Hifaazat farmaye.Aameen. (Fatawa e Harmain)
Posted on: Fri, 05 Jul 2013 13:58:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015