khoon aur aansoo k katray agar ALLAH k darr se ya Muhabbat se ya - TopicsExpress



          

khoon aur aansoo k katray agar ALLAH k darr se ya Muhabbat se ya ALLAH k deen ke khatir bahay to iss se muqaddas, anmol aur ALLAH ko razi karnay wali aur koi cheeze nahi aur yehi qatray agar inn wujuhat k ilawa kisi aur waja se bahay to iss se ganddi, bay keemat aur ALLAH ko naraz karnay wali aur koi cheeze nahi baaz dafa inn ka bahaana mukamal shaitani amal hai aur iss se shaitan khush hota hai...... maslan munafqat mein aansoo bahana..... aur massom insanon ka khoon bahana baaz shaitan k pujari dunya parast aur iqtadar k bhukay, logon ko behka kar apnay zati maqasid puray karnay k liye mass killing karwatay hain aur iss tarah wo hazaron logon ki balii de kar shaitan ko khush kartay hain aur uss k darbaar mein apna martaba buland kartay hain.... its a ritual for them... baaz cheezain aur events bazahir shakal(form) mein bilkul aik jaisay hain lekin haqeeqat mein itnay hi mukhtalif hain jitna k aag aur matti kyon k form mein same honay k bawajood unn ke simt(orientation) mukhtaif hai.... asan lafzon mein neyyat ka farq hai.... aik kam dunya hasil karnay k liye hai aur aik kaam akhrat hasil karnay k liyay hai... it is also a mathematical law that +1 and -1 are equal in magnitude but opposite in direction because one is on positive x-axis and other is on totally oppsite direction on negative x-axis
Posted on: Wed, 20 Aug 2014 06:58:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015