poetry sab chahney walon ky naam Sar-e-sehra musafir ko sitara - TopicsExpress



          

poetry sab chahney walon ky naam Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai main chalta hun muje chehra tumhara yaad rehta hai tumhara zarf hai tum ko muhabbat bhool jatti hai humen to jis ne hans kar be pukara yaad rehta hai muhabbat aur nafrat ,talkhi aur shireeni kis ne kis tarah ka phool mara yaad rehta hai muhabbat main jo duba ho use sahil se kya lena kise is behr main ja kar kinara yaad rehta hai bohat lehroon ko pakra dobne wale ke hathoon ne yahi bas aik darya ka nazara yaad rehta hai sadain aik si, yaksaniyat main doob jaati hain zara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rehta hai. Khubsurat Kalam Sab Chahny Walon k Naam :)
Posted on: Tue, 29 Oct 2013 19:15:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015