rajesh bahut hi amir ghar se tha. uske papa PWD mein Executive - TopicsExpress



          

rajesh bahut hi amir ghar se tha. uske papa PWD mein Executive Engineer the. car, bangla, Bike paise… jo kaho, uske pas hota tha. vo jyada show ham par to nahi karta tha par kahin kahin uska attitude dikh jata tha paise vala. lekin apne doston pe vo yabi hampe dil kholkar kharch karta tha.Mere ghar ki ki economic conditionso so thi. kami bhi nahin thi, koi aiyashi vali bat bhi nahi thi.But sumit bahut financially tight rahta tha. bas ye samjho ki kisi tarah se college pura kar raha tha. lekin tha bahut achchha padhai mein bhi aur behave mein bhi. Alka, Mumbai se thi. bas usne yahi bataya ki uske papa Mumbai mein cloths ka business karte hain. jyadatar vo bahut simple rahti thi. so ham sochte the ki koi medium business hoga.Jo aksar hota hai ki agar koi girl aurboy log jyada ikatthe rahe to ek dusre se attachment ho jata hai. vohi tha yahan bhi. rajesh to khullamkhulla Alka ko chahta tha aur kahta rahta tha usko ki tumhe to ekdin meri bat manni padegi. vo ajeeb ajeeb tareek se use propose karta tha. Ekdin usne ek bar MacD mein Alka ke Birthday ki party di. Us din usne sham ko jitne bhi log vahan aaye the, unko bola, sabka bill rajesh dega kyunki uski friend yani Alka ka Birthday hai. jabki maine aur Sumit ne use bas ek card hi diya. Alka uski aisi harkatonpe hansti rahti thi.Aur ek bar, 2011 mein rajesh ne 51 bachchon ko Chocolate deke Alka ke ghar ke pas bhej diya. jaise hi voghar se Bus stand ki aur chali to har ek-do minute pe ek bachcha use aake chocolate deta jispe covermein rajesh ne likha tha- I Love You… !! Alka us din bahut khush rahi.. usne vo sari chocolates sabko share ki… puri class ko. Par usne kabhi yes nahi kaha rajesh ko.main aur sab ladke yahi sochte ki abhi college hai isliye Alka rajesh ko yess nahi bolti bad mein accept karegi hi.vahin pe sath mein Sumit ka silent Love bhi tha Alka se. ye bat aur to nahi lekin main aur rajesh jante the. but koi animosity ya rivalry jaisi bat nahi thi. Hoti kaise? rajesh bahut over confident tha ki uske paise aur status ke samne Alka kisi aur ko chun hi nahi sakti. Aur jaise Alka bhi hamesha hansti rahti thi uski in harkation pe usse bhi yahi lagta tha. Halanki ek bat thi ki Alka Sumit ke sath jo behave karti thi usmein friendship ke sath ek respect vali feeling bhi dikhti thi. Vo bat Sumit se bhi bahut hi achchhe dhang se karti thi.raha main, to hamare beech aisa kuchh chakkar to tha nahi so bas hardam leg pulling hoti thi. Vo mujhe tang karti aur main use tangkarta. but ham dono to sahi manonmein bas friends hi the.Fir college khatm hone vala tha. 3rd year ke exams pass the. aise hibaton mein ek din Sumit ne kaha kimain exam ke bad Sabke sath Shimla jana chahta hun. rajesh ki jaisi aadat thi bola, chalenge yaar, par nai car mein chalenge. aur sab hans pade ki jaroor chalenge. lekin Alka ne kaha ki achchhe number sepass hue to jayenge.Ek din tabhi achanak Sumit ke ghar se khabar aai ki uske papa bimar hain. use college chhod ke jana pada. jane se pahle vo ek letter Alka ko dekar gaya aur bola ki ise exams ke bad kholna. Alka ne socha padhke dekhun, par fir exams mein sab busy ho gaye. exams ho gaye aur fir results ka time aa gaya. padhai mein sab theekthak the ham so pass to achche number se ho gaye. brilliant to bas Sumit tha par usne to exams hi nahi de paya tha.fir koi 2 months ke bad ham fir college mein mile to Sumit bhi aaya hua tha. Vo re-admission ki taiyaari kar raha tha aur iske liye application vagaira laga raha tha. Tabhi ek shor hua aur dekha ki rajesh ne college mein gate pe ek car khadi kar rakhi thi. uspe likha tha – Gift to my love ALKA !! Time to go to Shimla !sara college ye dekh raha tha aur Girls Alka se jealous ho rahi thi aurboys rajesh se. sab soch rahe the ki aaj Alka rajesh ko yess kah degi. College mein aaj tak jinko koi shak tha unhen bhi yakeen ho gaya ki rajesh Alka se bahut Love karta hai.tabhi Alka aai. Usne ek najar car kodekha aur ek najar sabki aur. Fir voseedha Sumit ke pass gai aur uska hath pakad kar aai. Fir usne mujhe aur rajesh ko sath liya aur canteen ki aur chali gai. vahan hamara ek fav corner tha jahan 4 seats thi. vahan baith kar usne apni pocket se ek letter nikala. ek chocolate bhi nikali aur donon rajesh ko dekar boli – tumhare liye.Rajesh ne bahut khushi ke sath letter lekar padhne laga.Letter mein likha tha -Alka, tum janti ho maine kabhi kaha nahi par main tumse bahut pyaar karta hun. maine socha tha ki main exams ke bad tumhare sath Shimla jaunga to vahan tunmhe propose karunga. lekin ghar mein jimmedari uthane ka vaqt aa gaya hai. Is bar ham sath Shimla nahi ghum payenge.lekin main vada karta hun ki ek din is layak banunga ki tum ko Shimla to kya, world mein jahan kahoge, vahan ghuma kar launga. Agar tummera intezar kar sako to !ye aur bat hai ki aaj to main tumse college mein bhi peechhe rah gaya hun kyunki is bar ke exams main nahi de sakta.bahut man tha ki ham is bar sath shimla jate. maine kuchh paise bhi save kiye the. lekin Filmy bate karne se kya hota hai? Alka aaj agarmain apne papa ke liye kuchh nahi kar paya to kal tumhare liye kya karpaunga?Tumhara Sumit.jab rajesh ne ye letter padh liya to usne Alka ki aur dekha. un aankhonmein jaise ek sawaal tha. Alka samajh gai aur usne kaha – rajesh, tum mere bahut achche dost ho. lekin mujhe bhi yahi lagta hai ki Life mein Filmy bato se kya hota hai, kuchh nahi. Mujhe lagta hai ki Sumit ko hi main apni life partner banaungi. I hope ki tum ye bat happily accept karoge aur ham sabki dosti mein koi fark nahi padega.rajesh ki aankhen nam ho gai. kuchh nahi kah paya aur vahan se chala gaya. fir usne college bhi change kar liya. Khair, ab Sumit aurAlka itne pass aa gaye the ki ab meri bhi jagah unke sath banti nahithi to maine bhi dheere dheere unse kuchh distance bana li taki unhen ek sath time mile. vaise roz mil to hamm jate hi the.vaqt beeta. Sumit ne civil Services ka exam clear kiya 3rd attempt mein. Vo IPS bana, rajasthan cadremein. last month unki shadi hui. Unki shadi ke vaqt main UP mein Job mein tha FCI mein. main Mumbai gaya to meri aankhen fat gai. Alka ke papa ka koi aisa vaisa Business nahi tha. Uske papa ki textile mill thi aur vo had se jyada ameer family se thi.rajesh nahi aaya tha bulane pe bhi.Thoda bura laga ham sabko ki use aana chahiye tha.next day lkin jab vidai ho rahi thi kuchh aisa hua ki hamari aankhen bhar aai. aur ye bat sirf ham teeno dost hi samajh paye. vidai ke vaqt road pe 101 bachche khade the, sabke hathon mein chocolates ke bade bade packs the. Un pe likha tha – Alka aur Sumit ke dost ki tarafse – with Love !pata nahi ab ye sach hai ki nahin hai ki Filmy Bate Karne Se Kya HotaHai!!!aur kyun maine ise sad love story kaha…?
Posted on: Sun, 04 Aug 2013 11:46:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015