sabhi government primary & junior schools men mid day meal band - TopicsExpress



          

sabhi government primary & junior schools men mid day meal band kar dena chahiye. kyon ki isase koi fayada nahin hota hai. jise padhana hoga vo schools men mid day meal ke bare men nahin sochega.teachers bhi khana banawane men hi busi rahate hain.unki bhi mazburi hai ki kahin koi kami na rah jaye. kyon ki mid day meal men jara si kami hone par bhi aur teacher ki koi galti na hote huye bhi sirf teacher ko hi jimmedar bataya jata hai aur use suspend kar diya jata hai ya koi dusari tarah se paresaan kiya jata hai.isliye sabse achhcha yahi hoga ki schools men mid day meal banwane ki jagah agar sirf sukha rasan jaise gehun ya chawal har mahine bachchon ko de diya jaye to khana banwane men lagane wala time bhi bachega aur teacher ko padhane ka jyada time bhi milega.sarkar ko bhi hazaron karod rupayon ki bachat hogi aur dekhabhal se bhi chhutti. kyo ki mid day meal ka record rakhane men aur banane men har mahine karodon rupaye sirf kagajon par hi kharch ho jaten hain, aur unhen banane wale logon ki salary ki bhi bachat hogi.yani ki bachat hi bachat aur teachers ko bhi schools men padhane ka jyada time milega aur teachers ko ab bachchon ki padhai ke liye adhik jimmedar thahraya ja sakta hai.agar mere comments aapko achche lagen to please jyada se jyada log like karen. please..........................................
Posted on: Sat, 17 Aug 2013 17:27:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015