singing or likhne ko apne dil mein bsane wala ROOHAN DIPTI ko bhut - TopicsExpress



          

singing or likhne ko apne dil mein bsane wala ROOHAN DIPTI ko bhut jada pyar krta tha.or dipti bhi usye bepanah pyar krti thi or roohan sy kehti ki main sirf tumari hu or bs tumse hi shadi bhi krungi. pr frnds love=dhokha. dipti ne roohan ko ek din phone kiya or kaha ke mere ghr wale tumko accept nahi kr rahe hain.meri shadi ek ache bde ghr ke ladke sy hone wali hai.woh ladka forn ki ek company mein manager hai.or phir roohan tum to na kamate ho,or na hi tumara koi naam hai. dipti ki shaadi ko 8 saal ho jate hain.or edher roohan ka dard uski shayari mein aa jata hai,roohan ab duniya mein apni shayari sy famous ho jata hai.or ek bhut bda shayar bn jata hai.roohan ka ek bhut bda show usi city mein hota hai jahan uski g.f ki shaadi hoti hai.dipti ka husband shayari sunne ka shokin hota hai.or woh dipti ko roohan ke show pe leke jata hai. roohan ko stage pe singing krte dekh dipti ke pairo taley zameen khisak jati hai.show ke khatam hone pr sabhi fans roohan ka autogaraph lene roohan ki taraf jate hain.dipti bhi roohan ke paas uska autograph lene jati hai.roohan tab niche muh krke apne fans ko autograph de raha hota hai. dipti uske paas aake kehti hai,dekha tum ho gaye na kamyab agar main tumko na chorti to tum aaj kamyab na hote kabhi.na hi tum itne bde shayar bnte. roohan dipti ki taraf dekhta hai or kehta hai,dipti tum is bharm mein mt rehna ke tumare chor jane pr mene yeh kamyabi hasil ki.mujhme gun tha tabhi main aaj is mukaam ko hasil kr paya.tum to chand paiso ki khatir apne pyar ka souda kr gai thi.aesa kro tum apne husband ko chor do or mene paas aa jao dekhte hain woh 8 saalo mein kamyab hot hai ya nahi. dipti wahin khadi hokar roti hai or roohan chal deta hai gum-e-shaam ki or :( :( moral > apne sache pyar ka jo insaan souda krta hai woh aashiq nahi vyapari hota hai.pyar kro kisi pe ehsaan nahi.... story writter> # Armaan
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 10:45:19 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015