wo ek baar ki barish yaad aati hai sochta hun jab us shamm ke bare - TopicsExpress



          

wo ek baar ki barish yaad aati hai sochta hun jab us shamm ke bare me to chehre par ek mithi si muskan ter jati hai vo barish ka alam vo bhoodo ki ladi vo badal ka thirakna vo intezaar ki ghadi dekhne ko milti uski bas ek jalak usko paane ki ti meri itni lalak dil khush hua ki ab vo roz aane lagi thi ab to mujhe vo barish bhi bhane lagi thi bas dekhke hi usse me khush ho jata tha dil to kahta tha ki kah dun usse apne dil ki baat bas mera man hi dar ke maare mujhe rok jata tha yun to usse baat bhi hoti thi aji baat bhi kya kahiye me bas sunta tha aur vo bas bolti thi na manzoor hui kismat ko meri khushi chali gayi mere chehre se vo hasi jab pata chala ki vo mujhse dur chali jayegi ab to vo yaha kabhi nhi aayegi lekin ab vo rut badalne chuki hai ab to sard hawaye chale lagi hai suna suna sa lagta tha alam mujhe ab to vo shaam bhi dhalne lagi hai ab jab bhi baraat aati hai to yaadein taza ho jati hai dil me dard uthta hai aur ankhe nam ho jati hai baraat me jab bhi me ghoomta hun to dukh ke ek-do ansu ro leta hun taki koi agar mujhe pehchan bhi lega to mere ansuo ko bhi barish ki boond hi samjhega sochta hun vo shaam phir kabhi to aayegi vo ghata kabhi to chhayegi sochta hun vo barish phir kabhi to aayegi phir se vo mithi si muskaan tar jayeg.
Posted on: Thu, 18 Jul 2013 12:19:17 +0000

Trending Topics



"sttext" style="margin-left:0px; min-height:30px;"> What size is an allotment? There is no legal minimum size for an
AWESOME JOBS JUST BEFORE CHRISTMAS: OFFICE/TOUR GUIDE – FULL
Columbia University Ladies Two Tone Stainless Steel Watch
Whose ready for the big changes coming to league!? I am overall
Katarzyna Fryc: "Jan Klata - którego w Gdańsku pamiętamy ze

Recently Viewed Topics




© 2015