wo sochti hai k ab shayad mai us se wo pyar nhi karta.. jitna - TopicsExpress



          

wo sochti hai k ab shayad mai us se wo pyar nhi karta.. jitna pahle mara karta tha mai uspe ab utna nhi marta.. ye khyal kio palta hai uske dil me iski wajah mai nhi janta.. magar ye sach bhi ho sakta hai.. mai to aisa nhi manta.. na jane mere pyar ki had kam hui hai ya uski had badh gyi hai.. magar sch mano to uske dimag me ye galtfahmi ghar kar gyi hai.. use har waqt sochta hu mai uski fikar mujhe jine nhi deti.. dil karta hai dubolu khud ko nashe me magar uski kasam mujh shrab Pine nhi deti.. kisi gair ladki ka khyal bhi aaye to meri rooh mujh se hi rooth jati hai.. mai use bhoolne ka khyal bhi dil me lau to sanso ki ladi mano toot c jati hai.. uski awaz na sunu to chain mere dil ko aata nhi.. ha bas itni c bhool hai ke kitna pyar hai ye uss se kaha jata nhi.. ab is se jyada mai mohabbat ka saboot bhi kya du.. itna karne pe bhi agar wo khfa hai to shayad is baar apni jaan hi dedu.. meri mout se shayad ho use yakeen mere pyar ka.. magar afsoos phir na milega mouka use mere deedar ka..!!
Posted on: Wed, 13 Nov 2013 18:39:29 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015