محبت اور عقیدت میں کیا فرق ہے؟ aqeedat - TopicsExpress



          

محبت اور عقیدت میں کیا فرق ہے؟ aqeedat kissi ko apne se superior maan kr kee jaati hay, aqeedat k rishton men ek tehrao or sakoon hota hay or ek distance hamesha maintain rehta hay, or is men doosray jazbon ki milaawat nahin hoti or na isko doosray jazbon k saharon ki zaroorat hoti hay.muhabbat mun-zor hoti hay, is men koi distance maintain nahin kia jaa skta, is k kai roop hote hain, is men kai dafa or jazbay bhi shamil ho jatay hain, agar amezish krne wala jazba positive hoga to muhabbat asmaan jaisi onnchai ko choo le gi or agar negative hoga yeh aapko pastiyon men dhakeil degi..yeh aapko bana bhi skti hay or tabah bhi kr skti hay.. aqeedat achay buray men tameez kr skti hay, yeh kabhi kissi buray shakhs se nahin ho skti, lekin muhabbat to wo kehtay hain na keh andhi hoti hay, jis se honi hoti hay ho krr rehti hay...plus...aqeedat ek intentional jazba hay, yeh intentionally kissi se paali jaa skti hay, muhabbat un-intentional hoti hay, isko hone se nahin roka jaa skta..or aapko realize hi tab hota hay jab ye ho chuki hoti hay..
Posted on: Sun, 02 Nov 2014 16:58:44 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015