۱۴ رمضان شہادت امیر مختار ثقفی رحمتہ - TopicsExpress



          

۱۴ رمضان شہادت امیر مختار ثقفی رحمتہ علیہ Shahdat E Hazrat Ameer E Mukhtar r,a Hazrat Ameer E Mukhtar a.s. Ki Zindagi Ka Khulasa... Aap Hazrat Abu Ubaida Saqafi Ke Baite The, Jo Maula Ali a.s. Ke Bahot Bade Sahabi The. Aap Jang E Siffeen Me Imam Ali a.s. Ki Taraf Se Muaviyah Se Lade The... Ek Din Imam Ali a.s. Ne Aapko Goad Me Bithaya Or Payar Kiya. Logon Ne Pucha Aap Is Bache Ko Kyu Payar Kar Rhe He To, Imam Ali a.s. Ne Bataya Ye Woh Ladka He Jo Bada Ho Kar Mere "Hussain a.s." Ke Qatilon Se Inteqm Lega. Jab Hazrat Muslim a.s. Kufa Aaye To Aap Ne Sab Se Pehly Unki Beyyat Ki. Hazrat Muslim a.s. Ne Aapko Qabail Ke Ellaqo Me Beyat Lenay Ke Liye Bhaja. Jis Douran Aap Kufa Ke Qabail Me The Tab Aapko Pata Chala Ke Hazrat Muslim a.s. Ke Pichae Ibn E Zyaad l.a. Ne Jasuas Chode Huve He. Aap Ne Ek Lashkar Banaya Or Hazrat Muslim a.s Ki Himayat Karne Ke Liye Kufay Ki Janib Rawana Huve. Aap Jab Kufay Pohche To Bahot Dear Ho Chuki Thi. Q Ke Hazrat Muslim a.s. Ko Shaheed Kar Diya Gya Tha. Ibn E Zyada l.a. Ke Sipahe Sallar Ne Aap Se Wada Kiya Ke Agar Aap Apne Aap Ko Us Ke Gawale Ker Dege To Woh Aapko Apni Jaan Ki Aman Denga. Aap Ne Khud Ko Uske Hawale Kardiya. Jab Imam Hussain a.s. Karbala Me Shaheed Huve Tab Aap Qaid Me The. Or Aap Ne Ye Ahad Kar Liya Ke Qatilan E Hussain a.s. Se Inteqam Zaror Lenge. Abdullah Ibn E Umer Ne Yazeed l.a. Ko Khat Likha Ke Mukhtar a.s. Ko Aazad Kar Do. Is Tarha Aap Qaid Se Aazad Ho Gaye. Aap Ne Aazad Hote Hi Madine Ka Rukh Kiya Or Maula Sajjad a.s. Se Mulaqat Ki. Phir Aap Makkah Chale Gaye Or Abdullah Ibn E Zubair Se Kuch Sharte Rakhi Or Phir Uski Beyyat Karli. Jab Aapko Andaza Huva Ke Ibn E Zubair Aapki Sharte Puri Nahi Karega To Aap Wapis Kufay Aagye. Waha Aap Ne Hukumat Ke Khilaf Qayam Ki Tayari Shruh Ki. Aap Ne Is Tyari Me Ibrahim Bin Malik E Ashter a.s. Ko Bhi Apne Sath Kar Liya Or Phir Darr Ul Immarah Par Hamla Kar Diya. Aap Ye Jung Jeet Gaye Or Kufa Ke Hakim Mukarrar Huve. Phir Aap Ne Qatilan E Sipah E Hussain a.s. Ko Qatal Karna Shuru Kiya... Ibn E Zubair Ne Apne Bhai Musab Ibn E Zubair Ko Ek Lashkar Ke Sath Bheja Or Hukum Diya Ke Mukhtar a.s. Ko Qatal Kar Do. Aap Ne Us Se Jang Ladi Or Akhir Me Aap Ke Dosto Ne Aapka Sath Chhod Diya. Aap Apne Channd Dosto Ke Sath Musab Se Ladte Rahe Or Akhir Me Aap Shadeeed Zakhmi Ho Gaye. Aap Zakhmi Halat Me Masjid E Kufa Me Us Jagha Par Pohche Jahan Par Maula Ali a.s. Khutba Diya Karte The Or Phir Aap Ne Usi Jaga Shahadat paaii.
Posted on: Tue, 23 Jul 2013 14:28:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015