ಌಌ⊰ಌ Allama Iqbal ……ღ ......... - TopicsExpress



          

ಌಌ⊰ಌ Allama Iqbal ……ღ ......... *¨`*♪.¸¸.ღϠ₡ღ Goristan-e-Shahi The Royal Cemetery Asman, Badal Ka Pehne Kharqa-e-Dairina Hai Kuch Mukddar Sa Jabeen-e-Mah Ka Aaeena Hai The sky is clothed in the cloud’s old tattered robe The mirror of moon’s forehead is somewhat gloomy Chandni Pheeki Hai Iss Nazara-e-Khamosh Mein Subah-e-Sadiq So Rahi Hai Raat Ki Aghosh Mein The moon light is pale in this silent panorama The dawn is sleeping in the lap of the night Kis Qadar Ashjaar Ki Hairat Faza Hai Khamashi Barbat-e-Qudrat Ki Dheemi Si Nawa Hai Khamashi How astonishing is silence of the trees This silence is the soft tune of Nature’s harp Batin-e-Har Zarra-e-Alam Sarapa Dard Hai Aur Khamoshi Lab-e-Hasti Pe Aah-e-Sard Hai The heart of every speck of the universe is pathos embodied And the silence is a sad sigh on the lips of existence Aah! Joulan-Gah Alamgeer Yani Woh Hisar Dosh Par Apne Uthaye Saikron Sadiyon Ka Bar Ah! That fort, that universal mustering ground Is carrying millennia’s weight on its shoulders Zindagi Se Tha Kabhi Maamoor, Ab Sunsaan Hai Ye Khamoshi Iss Ke Hangamon Ka Goristan Hai Was full of life at one time, now is desolate This silence is the cemetery of its past elegance Apne Sukkaan-e-Kuhan Ki Khak Ka Dildah Hai Koh Ke Sar Par Missal-e-Pasban Istada Hai It is the lover of the remains of its old denizens It is standing on the mountain top like a sentinel Abar Ke Rozan Se Woh Balaye Baam-e-Asman Naazar-e-Alam Hai Najam-e-Sabz Faam-e-Asman There from the cloud’s window above the sky’s roof That young green star is viewing the universe Khak Bazi Wussat-e-Dunya Ka Hai Manzar Isse Dastan Nakami-e-Insan Ki Hai Azbar Isse The earth’s vast expanse is a mere child’s play to it The story of Man’s failure is known to it by heart Hai Azal Se Ye Musafir Sooye Manzil Ja Raha Asman Se Inqalabon Ka Tamasha Dekhta This traveler is going to his destination since eternity Seeing revolutions’ spectacles from the sky’s seclusion Go Sukoon Mumkin Nahin Alam Mein Akhtar Ke Liye Fateha Khawani Ko Ye Thehra Hai Dam Bhar Ke Liye Though quiescence of the star is not possible in the universe It has stopped momentarily for saying prayer for the dead Rang-o-Aab-e-Zindagi Se Gul Ba-Daman Hai Zameen Saikron Khoon Gashta Tehzeebon Ka Madfan Hai Zameen This earth is full of flowers of life’s variegations This earth is the cemetery of many destroyed civilizations Khawab Gah Shahon Ki Hai Ye Manzil-e-Hasrat Fiza Dida-e-Ibrat! Kharaaj-e-Ashak-e-Gulgoon Kar Ada This grief‐stricken stage is the resting place of kings O admonished eye! Pay the tribute of rosy tears Hai Tu Goristan Magar Ye Khak Gardoon Paya Hai Aah! Ek Bargashta Qismat Qoum Ka Sarmaya Hai Though a mere cemetery, this dust ranks with the sky Ah! this is the wealth of an unfortunate nation! Maqbaron Ki Shan Hairat Afreen Hai Iss Qadr Junbish-e-Mazgan Se Hai Chashm-e-Tamasha Ko Hazr So astounding is the grandeur of mausoleums That the spectator’s eye evades even winking Kaifiat Aesi Hai Nakami Ki Iss Tasveer Mein Jo Uter Sakti Nahin Aaeena-e-Tehreer Mein Such an expression of failure is in this picture Which is impossible to reflect in description’s mirror Sote Hain Khamosh, Abadi Ke Hangamon Se Door Muztarib Rakhti Thi Jin Ko Arzu-e-Na-Saboor Far from the habitations’ crowds are sleeping Those who were restless with unfulfilled Longings Qabr Ki Zulmat Mein Hai Un Aftabon Ki Chamak Jin Ke Darwazon Pe Rehta Tha Jabeen-Gastar Falak The grave’s darkness holds the brilliance of those suns At whose thresholds the sky used to remain prostrating Kya Yehi Hai Un Shehenshahon Ki Azmat Ka Ma’al Jin Ki Tadbeer-e-Jahan Bani Se Darta Tha Zawal Is this the end of these emperors’ magnificence? Whose diplomatic policies knew no decline Roab-e-Faghfoori Ho Dunya Mein Ke Shan-e-Qaisari Tal Nahin Sakti Ghaneem-e-Mout Ki Yorish Kabhi Be it the grandeur of Qaisar or Faghfur’s sway The foe of death’s assault cannot be turned away Badshahon Ki Bhi Kisht-e-Umar Ka Hasil Hai Gaur Jadah-e-Azmat Ki Goya Akhri Manzil Hai Gaur The result of kings’ life‐efforts also is the grave The last stage on path of magnificence is the grave Sourish-e-Bazm-e-Tarab Kya, Uood Ki Taqdeer Kya Dard Mandan-e-Jahan Ka Nala-e-Shabgeer Kya Neither the happy assembly’s commotion nor the genius’ talk Not even the wailing people’s whole night’s compassion! Arsa-e-Paikar Mein Hangama-e-Shamsheer Kya Khoon Ko Garmane Wala Nara-e-Takbeer Kya Neither the tumult of the sword in the battle! Nor the cry of blood warming Takbir! Ab Koi Awaz Soton Ko Jaga Sakti Nahin Seena-e-Weeran Mein Jaan-e-Rafta Aa Sakti Nahin No call can wake up those who are sleeping No life can return to the desolate breast Rooh, Musht-e-Khak Mein Zehmat Kash-e-Baidad Hai Koocha Gard-e-Ne Huwa Jis Dam Nafas, Faryad Hai The soul in the handful of dust is enduring injustice When breath enters non‐existence’ flute it is a mere complaint Zindagi Insan Ki Hai Manid-e-Murgh-e-Khush Nawa Shakh Par Baitha, Koi Dam Chehchaya, Urh Gya Human life resembles the sweet singing bird, which Sat on the branch a while, chirped, flew away Aah! Kya Aye Riyaz-e-Dehr Mein Hum, Kya Gye! Zindagi Ki Shakh Se Phoote, Khile, Murjha Gye Ah! For what purpose did we come in the world, for what purpose did we go away! Sprouted from the life’s branch, blossomed, faded away Mout Har Shah-o-Gada Ke Khawab Ki Tabeer Hai Iss Sitam-Gar Ka Sitam Insaf Ki Tasveer Hai Death is interpretation of the dream of the king and the poor alike This atrocious one’s terror is the picture of justice Silsila Hasti Ka Hai Ek Behr-e-Na Paida Kinar Aur Iss Darye Be Payan Ki Moujain Hain Mazar The stream of life is a boundless ocean And the grave is a wave of this boundless ocean Ae Hawas! Khoonro Ke Hai Ye Zindagi Be- Etibar Ye Sharare Ka Tabassum, Ye Khs-e-Atish Sawar O ambition! Shed tears of blood as this life is unreliable It is the smile of the spark, it is the flammable straw Chand, Jo Soorat Gar-e-Hasti Ka Ek Ejaz Hai Pehnaye Seemabi Qaba Mehv-e-Kharaam-e-Naz Hai This moon which is a miracle of the Lord of the universe Clad in the robe of gold is slowly and proudly strolling Charkh-e-Be-Anjum Ki Dehshat-Naak Wussat Mein Magar Bekasi Iss Ki Koi Dekhe Zara Waqt-e-Sehar But in the frightening vastness of the starless sky Its helplessness is worth watching at time of dawn Ek Zara Sa Abar Ka Tukra Hai, Jo Mehtab Tha Akhri Ansu Tapak Jane Mein Hi Jis Ki Fana What was the moon is a mere piece of cloud Whose destruction is in the last tear drop Zindagi Aqwam Ki Bhi Hai Yunhi Be-Etibar Ranghaye-e-Rafta Ki Tasveer Hai Un Ki Bahar Similarly unpredictable is the life of nations Their glory is a picture of the happy times gone by Iss Zayan Khane Mein Koi Millat-e-Gardoon Waqar Reh Nahin Sakti Abad Tak Bar-e-Dosh-e-Rozgar In this world no nation however prestigious it may be Can continue its existence till the end of time Iss Qadar Qoumon Ki Barbadi Se Hai Khugar Jahan Dekhta Be-Itnayi Se Hai Ye Manzar Jahan So much accustomed to nations’ destruction is the universe That it watches this scene with indifference Aik Soorat Par Nahin Rehta Kisi Shay Ko Qarar Zauq-e-Jiddat Se Hai Tarkeeb-e-Mazaj-e-Rozgar Nothing stays the same without change The universe’ nature is made of change Hai Nageen-e-Dehr Ki Zeenat Hamesha Naam-e-Nau Madar-e-Geeti Rahi Aabastan-e-Aqwam-e-Nau The beauty of world’s jewel is in ever changing names The mother earth has always remained expecting new nations! Hai Hazaron Qaflon Se Ashna Ye Reh Guzr Chashm-e-Koh-e-Noor Ne Dekhe Hain Kitne Tajwar This highway is acquainted with thousands of caravans Kohinur’s eye is familiar with innumerable kings Misr-o-Babil Mit Gye, Baqi Nishan Tak Bhi Nahin Daftar-e-Hasti Mein In Ki Dastan Takbhi Nahin Egypt and Babylon are annihilated, not a mark remains The roll of existence does not have even their names Adabaya Mehr-e-Iran Ko Ajal Ki Sham Ne Azmat-e-Yunan-o-Ruma Loot Li Ayyam Ne The evening of death has overpowered the sun of Iran Time has robbed the grandeur of Greece and Rome Aah ! Muslim Bhi Zamane Se Yunhi Rukhsat Huwa Asman Se Abar-e-Aazari Utha, Barsa, Gya Ah! The Muslim also from the world similarly departed The azure cloud appeared over the horizon, rained and departed Hai Rag-e-Gul Subah Ke Ashakon Se Moti Ki Lari Koi Suraj Ki Kiran Shabnam Mein Hai Uljhi Huwi The rose petal’s vein is a string of pearls with dawn’s tears Some ray of the sun is enmeshed in the dew Seena-e-Darya Shuaon Ke Liye Gehwara Hai Kis Qadar Pyara Lab-e-Joo Mehr Ka Nazzara Hai The river’s breast is the cradle for sun’s rays How beautiful is the sun’s sight at the river bank! Mehv-e-Zeenat Hai Sanobar, Juebar Aaeena Hai Ghuncha-e-Gul Ke Liye Bad-e-Bahar Aaeena Hai Juniper is busy in beautifying, river is the mirror For the flower bud spring breeze is the mirror Na’ara Zan Rehti Hai Koel Bagh Ke Kashane Mein Chashm-e-Insan Se Nihan, Patton Ke Uzlat Khane Mein The cuckoo remains calling from the garden’s nest Remains hidden from the human eye in the leaves’ privacy Aur Bulbul, Mutrib Rangeen Nawaye Gulistan Jis Ke Dam Se Zinda Hai Goya Hawaye Gulistan And the nightingale, the flowery singer of the garden By whose presence is alive the glory of the garden Ishq Ke Hangamon Ke Urti Huwi Tasveer Hai Khama-e-Qudrat Ki Kaisi Shoukh Ye Tehreer Hai Is a living picture of the commotion of Love How beautiful is this picture from Nature’s pen! Bagh Mein Khamosh Jalse Gulistan Zadon Ke Hain Wadi-e-Kuhsar Mein Na’are Shaban Zadon Ke Hain In the garden the roses silent assemblies are holding The shepherd boys’ shouts in the valley are echoing Zindagi Se Ye Purana Khakdan Maamoor Hai Mout Mein Bhi Zindagaani Ki Tarap Mastoor Hai This old world is so full of life That in death also is hidden the zest of life Patiyan Phoolon Ki Girti Hain Khazan Mein Iss Tarah Dast-e-Tifl-e-Khufta Se Rangeen Khilone Jis Tarah The petals fall in autumn in the same way As toys fall from the sleeping infant’s hand Iss Nishat Abad Mein Go Aysh Be-Andaza Hai Aik Gham, Yani Gham-e-Millat Hamesha Taza Hai In this cheerful world though luxury is limitless One grief, that is grief of the Millat is always fresh Dil Humare Yad-e-Ehd-e-Rafta Se Khali Nahin Apne Shahon Ko Ye Ummat Bhoolne Wali Nahin Memories of the age gone by are still fresh in our heart This Ummah cannot erase its kings’ memories form its heart Ashak Bari Ke Bahane Hain Ye Ujre Baam-o-Dar Girya-e-Peham Se Beena Hai Humari Chasm-e-Tar These desolate mansions are excuses for shedding tears Insight has developed in the eye with continuous tears Dehr Ko Dete Hain Moti Dida-e-Giryan Ke Hum Akhri Badal Hain Ek Guzre Huwe Toofan Ke Hum We give to the world the pearls of the weeping eye We are the remaining clouds of a storm gone by Hain Abhi Sad Ha Guhariss Abar Ki Aghosh Mein Barq Abhi Baqi Hai Iss Ke Seena-e-Khamosh Mein There are hundreds of pearls in this cloud’s breast Thunder still lurks in this cloud’s silent breast Wadi-e-Gul, Khak-e-Sehra Ko Bana Sakta Hai Ye Khawab Se Umeed-e-Dehqan Ko Jaga Sakta Hai Ye It can change the dry wilderness to a flowery vale It can change the farmer’s hope from slumber to awakening Ho Chukka Go Qoum Ki Shan-e-Jalali Ka Zahoor Hai Magar Baqi Abhi Shan-e-Jamali Ka Zahoor The manifestation of this nation’s majesty has passed But the manifestation of its beauty has not yet passed
Posted on: Sun, 03 Aug 2014 17:08:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015