=============(((((14+14+14+14+14=70% - TopicsExpress



          

=============(((((14+14+14+14+14=70% )))))=========== -------INDIAN RAILWAY MEIN 70% CORRUPTION HOTI HAI. 70% YATRI AUR 35% MAAL-BHADA INCREASE KIYA JAYE TO INDIAN RAILWAY ZERO BALANCE PAR PAHUNCH SAKTI HAI. -------RATAN TATA NE EK BAAR KAHA THA KI INDIAN RAILWAY KA CONTROL MUJHKO DEDO,MAIN TRAINS KO SONAY KE PAHIYE LAGWA DOONGA.RATAN TATA KI EK HI CONDITION THI KI MAUJUDA SARKARI STAFF NAHIN RAHE GA,OFFICERS KA POORA NAYA STAFF MAIN KHUD RAKHUNGA,LABOUR AUR JUNIOR STAFF VAHI CHAL JAYEGA. -------1971 SE 1982 TAK,11 YRS MAINE COAL KA WHOLESALE BUSINESS KIYA HAI.WEST BENGAL,BIHAR,ODISHA AUR ASSAM MEIN MAINE RAILWAY SE COAL LOADING KARWAEE.PATIALA,MANDI GOBINDGARH, AMRITSAR,LUDHIANA,JALANDHAR,FIROZEPUR,AMBALA CITY ETC STATIONS PAR MAINE RAILWAY KE SAATH DEALING KI HAI.APNI ANKHON SE DEKHA HAI KI KAHAN-KAHAN,KAISE-KAISE,KYA-KYA HOTA HAI.WEST BENGAL KE EK CHHOTE SE STATION PAR,JAHAN DIN MEIN 10 YATRI BHI NAHIN AATE-JATE THAY,WAHAN COAL KI WAGONS LOADING START HO GAYI.OFFICERS STAFF KE NAAM PAR WAHAN EK-AKELA STATION MASTER HI THA. 2 MONTH CHALI COAL LOADING MEIN USKE PAS ITNE PAISE HO GAYE KI USKA DIMAAG HI HIL GAYA.LOGON KO BULA-BULA KAR,APNI LAKDI KI ALMARI KHOL KAR PAISE DIKHANE LAGA. -------GOODS-DHULAAEE MEIN JO-JO SAMAAN RAILWAY MEIN AATA-JATA HAI,UN SABHI GOODS KO RAILWAY STAFF KO BAZAAR SE PERCHASE KARNE KI KOI JAROORAT NAHIN PADTI,SAB-KUCHH MAAL-GODOWN MEIN MIL JATA HAI.CHHOTE RANK KA STAFF CHORI KARTA HAI,LEKIN HIGH-RANK STAFF KO CHORI NAHIN KARNI PADTI.JIS BHI BUSINESSMAN KI GOODS REGULAR RAILWAY MEIN AATI HAIN,VEH KHUD HI PARCEL PHAAD KAR JITNI JAROORAT HOTI HAI OFFICERS KO DE DETA HAI.4 PCs DENE PAR 8 PCs KE CLAIM KA CASE BAN JATA HAI AUR BADI AASANI SE PAAS HO JATA HAI.POORA STAFF GWAAH HO,INSPECTION KARNE WALON KI SEWA HOTI HO TO DIKKAT KYA HAI,JITNA CHAHE CLAIM PAAS KARWA LO.INDIAN RAILWAY MEIN CRORON KE FAULSE CLAIM DAILY PAAS HOTAY HAIN.PURCHASE MEIN CRORON KA COMISSION HAR-ROZ CHALTA HAI.ABHI KA PATA NAHIN JAB TRAINS COAL SE CHALTI THEEN TO LAKHON HI STAFF KE LOG AUR LAKHON HI STATIONS KE AAS-PAAS RAHNE WALE LOG RAILWAY KE COAL SE HI APNE GHAR KI KITCHEN CHALATE THAY. -------JIS BUSINESS KI,JIS PRODUCT KI SUPPLY SE JYADA DEMAND HO,72 SEATS WALE COACH MEIN 200 YATRI GHUSTE HON,JIS TRAIN KA COSTUMER,TRAIN AANE KI 4/6 HRS WAIT KARTA HO,2-2 MONTH KI ADVANCE BOOKING CHALTI HO,HAZARON DALAAL JIS KE TICKETS KI BLACK KAR KE ROZI-ROTI KAMATE HON,US BUSINESS MEIN LOSS KAISE HO SAKTA HAI. -------INDIAN RAILWAY MEIN AGAR CORRUPTION AUR CHORI NA HO TO 14% KIRAYA INCREASE KARNE KI BAJAYE DECREASE KAR DO TO BHI PROFIT MEIN HI RAHEGI. -------AGAR BHARAT MEIN ACHHE DIN LANA CHAHTE HAIN TO CORRUPTION AUR BEIMAANI KO ROKNA HI EK-MATR TARIKA HAI.SAMAJ MEIN HONAY WALE TOTAL CRIMES MEIN SE 90% CRIMES KI JANAM-DATA BHI YEH CORRUPTION HI HAI.ACHHE DIN LANE KE LIYE CORRUPTION KO BAND KARNE KE ILAWA NA KOI AUR TARIKA HAI,NA HO SAKTA HAI. -------JAB TAK BHARAT KI PUBLIC AUR GOVT,DONO IMAANDAR NAHIN HONGE TAB TAK EK TO KYA 543 MODI JEEEEE BHI PAIDA HO JAYEN TAB BHI BHARAT MEIN ACHHE DIN NAHIN AASAKTE.YEH SONAY KI CHIDIYA AISAY HI GHUT-GHUT KAR JEETI-MARTI RAHEGI. &&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&&& KHARCHEELAY VIVAH-SAMAAROH HAMEIN DRIDAR AUR BEIMAAN BANATE HAIN. DAHEJ LENA BAND KARDO,DENA APNE-AAP BAND HO JAYEGA. ----------------------------------(ANTI DOWRY CLUB-PATIALA)
Posted on: Wed, 17 Dec 2014 13:41:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015