2nd October 2014 ko Paradhanmantri ji ne Swachh Bharat Abhiyan - TopicsExpress



          

2nd October 2014 ko Paradhanmantri ji ne Swachh Bharat Abhiyan ki ghoshna ki thi. Abhi kuchh hi dinon pahle unhone is Abhiyan me bankers ki aham bhoomika hone ki bhi baat kahi thi. Main Pradhamantri ji ka dhyan zara bankers ko milne wali chhuttiyon aur ravivar par dilana chahoonga . Ravivar aur chhutti k dinon me bhi humen bank ka kaam karne k liye hamare management dwara pressurise kiya jata hai to fir hum apne ghar athwa aas paros ki safai kis din aur kaise karenge. Is tarah to hum bankers aapke is mission me bhhag nahi le paa rahe hain kyun ki jab aapka ghar aur aas paros hi saaf nahi fir to swachh Bharat Abhiyan ki baat hi karna bemaani hai. Fir to aapka mission poori tarah safal hota nahi dikh raha hai.Baat 25th December 2014 ki hai jab poora desh Christmas mana raha tha , sabhi jagah chhuti thi tab main aur mere Branch Manager shri Abhishek Kumar field me camp kar rahe the kyun ki management dwara kaha gaya tha ki Zonal Manager saheb ka visit hai aur camp zaroori hai. Uske baad 28th December 2014 ko v main dinbhar field me tha. Aur thik uske agle din 29th December ko mujhe memorandum mila. Waahh re bhai waahh kya inaam mila chhutti k din kaam karne ka. Yahi nahi uske baad disciplinary action ki v dhamki di ja rahi hai. Shayad ye sab inaam hai Modi sarkaar me imaandari poorvak kaam karne ka. Pradhamantri ji kahte hain ki social media ka zamana hai to sir is social media ke zariye main ek banker apka dhyan hum bankers ki ore dilana chahta hoon. INQUALAB ZINDABAD
Posted on: Sun, 04 Jan 2015 14:56:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015