ASSALAM O ALAIKUM (ALLAH ke naam se shuru) musalmano ke huquq - TopicsExpress



          

ASSALAM O ALAIKUM (ALLAH ke naam se shuru) musalmano ke huquq (muntakhab ahadees) safa no (476) auzubillah minash shaitanir rajeem bismillahir rahmanir rahim... hazrat umar bin khattab radi ALLAH anhu rivayat karte hai ke NAABI KAREEM S/L ne mujhse irshad farmaya: jab tum beemar ke pass jao to usse kaho ke woh tumhare liye dua kare kyun ke uski dua farishton ki dua ki tarhe (qubool hoti hai) (abin maja) hazrat abdullah bin umar radi ALLAH anhuma rivayat karte hai ke hum RASOOL ALLAH S/L ke pass baithy hoe thy _ ek ansari sahabi ne aakar AAP ko SALAM kiya phir wapas jane lage_ AAP ne unse pucha : ansari bhai ! : mere bhai sayed bin ibada ki tabiyat kaisi hai ? unhi ne aarz kiya : acchi hai _ AAP S/L ne (saath baithy hoe sahaba se) irshad farmaya: tum main se kon uski ayadat karga? yeh keh kar AAP S/L khare ho gaye hum bhi apke saath khare ho gaye _ hum das se zada afraad thy_ humare pass jute thy na moze , topiyan thi na qamees_ hum us pathrili zameen par chalte hoe hazrat sayed radi ALLAH anhu ke pass pohche_ (us waqt) unki qaom ke jo log unke qareeb thy peechy hat gaye_ RASOOL ALLAH S/L aur aapke saath jane wale sahaba radi ALLAH anhu unke qareeb hogaye_ (muslim) hazrat abu syed khudri radi ALLAH anhu farmate hai ke unhi ne RASOOL ALLAH S/L ko irshad farmate hoe suna : jis shaks ne 5 AMAL ek din main kiye ALLAH TALA usse jannat walo mai likh dete hai_ beemar ki ayadat ki _janaze mai shirkat ki, roza rakkha, juma ki namaz ke liye gaya, aur ghulam aazad kiya _ (abin haban)
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 04:33:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015