Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah - TopicsExpress



          

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh Allah ki raah mein ( Jihad mein) nikla Allah Subhanahu uska zamin ho gaya (Allah farmata hai) uski meri zaat par yakeen aur mere paighambaro ki tasdeek ne ghar se nikala hai ya to main usko wapas karunga ganimat ke maal ke saath ya jannat mein dakhil kar dunga . Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Agar main apni ummat par dushwar na samajhta to lashkar ka saath na chorhta aur meri khwahish hai ki Main Allah subhanahu ki raah mein maara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu. { Sahih Bukhari, Vol1, 36 } Abu Huraira Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya us Zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai meri aarzoo hai ki main Allah taala ke raastey mein Jung karu aur Qatl kiya jauu, Phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu, phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu., phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu. { Sahih Bukhari, Vol8, 7227 }
Posted on: Wed, 17 Jul 2013 13:21:18 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015